wapsi
phir vahī silsile
mulāqātoñ ke
shurūa ho ga.e
aaj kī shaam kā
kal kī sub.h se
rabt baḌhne lagā
sub.h ik baar phir
shaam se milne lagī
aur vāpsī kā safar
aisā lagtā hai
ek baar phir
shurūa ho gayā
kahīñ aisā na ho ki ek din
phir usī moḌ par
aa ke ruknā paḌe
jahāñ se pahle bhī ek baar
ham judā ho chuke the
phir wahi silsile
mulaqaton ke
shurua ho gae
aaj ki sham ka
kal ki subh se
rabt baDhne laga
subh ek bar phir
sham se milne lagi
aur wapsi ka safar
aisa lagta hai
ek bar phir
shurua ho gaya
kahin aisa na ho ki ek din
phir usi moD par
aa ke rukna paDe
jahan se pahle bhi ek bar
hum juda ho chuke the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.