wapsi
safar kī shart na.ī tum ne bāñdhī hai
isī liye to ham ne
tumhāre saath chand qadam chal kar
vāpsī kī Thānī hai
gāhe-gāhe chalte the na.e safar kī tarah
girte girte sañbhal bhī jaate the
ajnabī kī tarah
duur thī manzil magar use bhī samjhe ham
chand qadam kī tarah
aur ham ne sochā thā
safar se pahle kabhī na dam leñge
kisī tarah rāstoñ ko tai kar leñge
magar ik moḌ par ruke jo tum
palaT ke tum ne kahā
ham ab yahīñ pe rukte haiñ
tum baḌho akele hī
ham na.e rāstoñ pe chalte haiñ
paañv shal haiñ
āñkhoñ meñ dhuāñ
ek ek karke
miT rahe haiñ nishāñ
safar kī shart na.ī tum ne bāñdhī hai
isī liye to ham ne
tumhāre saath chand qadam chal kar
vāpsī kī Thānī hai
safar ki shart nai tum ne bandhi hai
isi liye to hum ne
tumhaare sath chand qadam chal kar
wapsi ki Thani hai
gahe-gahe chalte the nae safar ki tarah
girte girte sanbhal bhi jate the
ajnabi ki tarah
dur thi manzil magar use bhi samjhe hum
chand qadam ki tarah
aur hum ne socha tha
safar se pahle kabhi na dam lenge
kisi tarah raston ko tai kar lenge
magar ek moD par ruke jo tum
palaT ke tum ne kaha
hum ab yahin pe rukte hain
tum baDho akele hi
hum nae raston pe chalte hain
panw shal hain
aankhon mein dhuan
ek ek karke
miT rahe hain nishan
safar ki shart nai tum ne bandhi hai
isi liye to hum ne
tumhaare sath chand qadam chal kar
wapsi ki Thani hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.