waqai jhuTh tha kya
baat sun kar mirī vo hañsā
to mujhe bhī lagā baat hañsne kī hai
ḳhair achchhā huā
varna maiñ zindagī bhar kisī jhūTh ko jiitā rahtā
magar kaun sā jhūTh
vo ronā taḌapnā mirā vāqa'ī jhūTh thā kyā
to phir kis natīje pe pohñchā huuñ maiñ
sirf itnā hī shāyad
ki maiñ aaj ye jāntā huuñ
kisī ko samajhne parakhne kā koī vazīfa nahīñ
bas vahī baat jo
lab talak aa na paa.e latīfa nahīñ
baat sun kar meri wo hansa
to mujhe bhi laga baat hansne ki hai
KHair achchha hua
warna main zindagi bhar kisi jhuTh ko jita rahta
magar kaun sa jhuTh
wo rona taDapna mera waqa'i jhuTh tha kya
to phir kis natije pe pohncha hun main
sirf itna hi shayad
ki main aaj ye jaanta hun
kisi ko samajhne parakhne ka koi wazifa nahin
bas wahi baat jo
lab talak aa na pae latifa nahin
- Book : Dukh Naye Kapde Badal Kar (Pg. 116)
- Author : Shariq Kaifi
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.