wardat
dil-e-hazīñ meñ abhī yād-e-yār baaqī hai
ḳhizāñ-rasīda chaman meñ bahār baaqī hai
nishān-e-hastī-e-nā-pā.edār baaqī hai
kisī kā naam kisī kā mazār baaqī hai
hazār karvaTeñ badlīñ zamāne ne ab tak
magar abhī vahī lail-o-nahār baaqī hai
bahār phirtī hai āñkhoñ meñ bazm-e-sāqī kī
surūr-e-rafta kā ab tak ḳhumār baaqī hai
shakeb-o-sabr mohabbat meñ kho chukā jab se
jigar meñ taab na dil meñ qarār baaqī hai
rahā na hashr meñ rahmat se koī bhī mahrūm
mire gunāhoñ kā phir bhī shumār baaqī hai
jo khiñch ke naza.a meñ dam aa gayā hai ashkoñ meñ
dam-e-vidā.a tirā intizār baaqī hai
sukūn-e-marg na aa tū abhī ḳhudā ke liye
ki dil meñ tāb-e-ġham-e-rozgār baaqī hai
milā ke ḳhaak meñ 'mehdī' ko kyā milegā tujhe
tirī jafā kī jo ik yādgār baaqī hai
dil-e-hazin mein abhi yaad-e-yar baqi hai
KHizan-rasida chaman mein bahaar baqi hai
nishan-e-hasti-e-na-paedar baqi hai
kisi ka nam kisi ka mazar baqi hai
hazar karwaTen badlin zamane ne ab tak
magar abhi wahi lail-o-nahaar baqi hai
bahaar phirti hai aankhon mein bazm-e-saqi ki
surur-e-rafta ka ab tak KHumar baqi hai
shakeb-o-sabr mohabbat mein kho chuka jab se
jigar mein tab na dil mein qarar baqi hai
raha na hashr mein rahmat se koi bhi mahrum
mere gunahon ka phir bhi shumar baqi hai
jo khinch ke naza mein dam aa gaya hai ashkon mein
dam-e-widaa tera intizar baqi hai
sukun-e-marg na aa tu abhi KHuda ke liye
ki dil mein tab-e-gham-e-rozgar baqi hai
mila ke KHak mein 'mehdi' ko kya milega tujhe
teri jafa ki jo ek yaadgar baqi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.