waris
vo abnormal nahīñ thā
sirf us ko normal banñe kī hasrat thī
ka.ī ḳhānoñ meñ us kī zindagī baTne lagī thī
vo apnī koshish-e-nā-mo'tabar se tañg aa kar
nīm-jāñ ho kar
ek ḳhāne meñ panah lene lagā thā
banī āmāt-gāh-e-tīr-e-nafrat shaḳhsiyat us kī
use bhī ḳhud se nafrat ho chukī thī
magar is nafrat-e-mānūs kī takrār se us ne
durusht o nā-muvāfiq zindagī se sulh kar lī thī
yahī thā kīsa-e-aḳhlāq us kā
ġharībī ne sharāfat chhīn lī thī
aur us kī shaḳhsiyat ke pairahan meñ
guhar-bāroñ ke badle sañg-reze jaḌ diye the
vo abnormal nahīñ thā
magar ab us meñ ḳhud ko normal karne kā yaarā bhī nahīñ thā
use ab ye gavārā bhī nahīñ thā
galī-kūchoñ kī saarī gandagī kā
tīrgī kā
vo ab haqdār vāris ban chukā thā
wo abnormal nahin tha
sirf us ko normal banne ki hasrat thi
kai KHanon mein us ki zindagi baTne lagi thi
wo apni koshish-e-na-mo'tabar se tang aa kar
nim-jaan ho kar
ek KHane mein panah lene laga tha
bani aamat-gah-e-tir-e-nafrat shaKHsiyat us ki
use bhi KHud se nafrat ho chuki thi
magar is nafrat-e-manus ki takrar se us ne
durusht o na-muwafiq zindagi se sulh kar li thi
yahi tha kisa-e-aKHlaq us ka
gharibi ne sharafat chhin li thi
aur us ki shaKHsiyat ke pairahan mein
guhar-baron ke badle sang-reze jaD diye the
wo abnormal nahin tha
magar ab us mein KHud ko normal karne ka yara bhi nahin tha
use ab ye gawara bhi nahin tha
gali-kuchon ki sari gandagi ka
tirgi ka
wo ab haqdar waris ban chuka tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.