wahan main nahin thi
faqat ḳhālī piñjra badan kā paḌā thā
aur nīm-vā in kivāḌoñ kī har charcharāhaT meñ
hairāniyāñ boltī thiiñ
zamīñ kī fazā se
mujhe kis ne bāhar Dhakelā
falak tak mirī dastaras kyuuñ nahīñ thī
na jaane maiñ kab tak ḳhalā meñ bhaTaktī rahī thī
vahīñ par
munaqqash darīchoñ meñ
sarsabz beleñ sutūnoñ se lipTī huī thiiñ
chamakte hue chhat ke fānūs kī raushnī meñ
beloñ ke pattoñ kī āñkhoñ meñ Thahrī namī
jhilmilāne lagī thii!
magar sab kī nazreñ
sajī Tabaloñ par jamī thiiñ
kisī ko ḳhabar kab huī thī
vahāñ meñ nahīñ thī
faqat KHali pinjra badan ka paDa tha
aur nim-wa in kiwaDon ki har charcharahaT mein
hairaniyan bolti thin
zamin ki faza se
mujhe kis ne bahar Dhakela
falak tak meri dastaras kyun nahin thi
na jaane main kab tak KHala mein bhaTakti rahi thi
wahin par
munaqqash darichon mein
sarsabz belen sutunon se lipTi hui thin
chamakte hue chhat ke fanus ki raushni mein
belon ke patton ki aankhon mein Thahri nami
jhilmilane lagi thi!
magar sab ki nazren
saji Tabalon par jami thin
kisi ko KHabar kab hui thi
wahan mein nahin thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.