wahi bu-e-gul hai
koī jazba hai na koī ehsās
ab to vo hai bhī nahīñ mere paas
jaise vo thā hī nahīñ mere paas
jaise vo thā hī nahīñ koī savāl
jaise vo thā hī nahīñ merā ḳhayāl
jaise vo thā hī nahīñ raat kī niiñd
jaise vo thā hī nahīñ merā ḳhvāb
jaise vo thā hī nahīñ merā nasha
jaise vo thā hī nahīñ merī sharāb
jaise vo thā hī nahīñ merā ḳhumār
jaise vo thā hī nahīñ sub.h kā nuur
jaise vo thā hī nahīñ din kā ġhubār
jaise vo thā hī nahīñ shām-e-surūr
jaise vo thā hī nahīñ merī murād
jaise vo thā hī nahīñ lams-e-hayāt
jaise vo thā hī nahīñ ishq mirā
jaise vo thā hī nahīñ shahr-e-najāt
jaise vo thā hī nahīñ phir bhī use
vaqt kyuuñ yaad kiyā kartā hai
shaġhl ījād kiyā kartā hai
dard ko shaad kiyā kartā hai
ḳhud ko ābād kiyā kartā hai
jism ke phuul meñ ehsās kī ḳhushbū hai yaad
hijr kī raat meñ ummīd kā jugnū hai yaad
madh bhare nain kā vo āḳhirī jaadū hai yaad
ḳhud ko maiñ bhuul gayā sirf mujhe tū hai yaad
jaise maiñ thā hī nahīñ jaise maiñ huuñ bhī nahīñ
ishq ābād fanā-e-kul hai
gul kā hāsil vahī bū-e-gul hai
koi jazba hai na koi ehsas
ab to wo hai bhi nahin mere pas
jaise wo tha hi nahin mere pas
jaise wo tha hi nahin koi sawal
jaise wo tha hi nahin mera KHayal
jaise wo tha hi nahin raat ki nind
jaise wo tha hi nahin mera KHwab
jaise wo tha hi nahin mera nasha
jaise wo tha hi nahin meri sharab
jaise wo tha hi nahin mera KHumar
jaise wo tha hi nahin subh ka nur
jaise wo tha hi nahin din ka ghubar
jaise wo tha hi nahin sham-e-surur
jaise wo tha hi nahin meri murad
jaise wo tha hi nahin lams-e-hayat
jaise wo tha hi nahin ishq mera
jaise wo tha hi nahin shahr-e-najat
jaise wo tha hi nahin phir bhi use
waqt kyun yaad kiya karta hai
shaghl ijad kiya karta hai
dard ko shad kiya karta hai
KHud ko aabaad kiya karta hai
jism ke phul mein ehsas ki KHushbu hai yaad
hijr ki raat mein ummid ka jugnu hai yaad
madh bhare nain ka wo aaKHiri jadu hai yaad
KHud ko main bhul gaya sirf mujhe tu hai yaad
jaise main tha hi nahin jaise main hun bhi nahin
ishq aabaad fana-e-kul hai
gul ka hasil wahi bu-e-gul hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.