wahi darinda
vahī darinda
mujhe jañgal se shahr le aayā
yahāñ us ne
muskurānā sīkhā
jo kartā rahā
maiñ dekhtā rahā
aur apne andar hairateñ jam.a kartā rahā
us ne ek aurat kī chhātiyāñ
bhañbhoḌ Dālīñ
jis ne us ke uzv-e-tanāsul
aur dil ko thakā diyā hai
us ne āsmān kī taraf dekhā
aur thuuk nigal liyā
vahāñ use
koī nazar nahīñ aayā
mujhe patā na chaltā
vo lafzoñ meñ chhup jaatā
vahīñ se nahūsat se muskurātā
dikhā.ī paḌtā
kabhī kabhī
maiñ ne us se
jaan chhuḌānī chāhī
jab maiñ phuul le rahā thā
us laḌkī ke liye
jis kā dil
ek phuul se bhī ziyāda
narm aur halkā thā
maiñ ne us se
jaan chhuḌānī chāhī
jab dhuup dīvāroñ se
utarne kā naam nahīñ letī thī
aur lamhe ūñghte the
maiñ in dhuup bharī dīvāroñ meñ
use dafn karnā chāhtā thā
maiñ ne us se jaan chhuḌānī chāhī
jab maiñ ne pahlī baar
sach bolnā sīkhā
ye use pasand nahīñ aayā
us ne karodh meñ
ā.īna ījād kiyā
aur mere sāmne rakh diyā
maiñ ne dekhā
vahī darinda
maiñ ḳhud huuñ
wahi darinda
mujhe jangal se shahr le aaya
yahan us ne
muskurana sikha
jo karta raha
main dekhta raha
aur apne andar hairaten jama karta raha
us ne ek aurat ki chhatiyan
bhanbhoD Dalin
jis ne us ke uzw-e-tanasul
aur dil ko thaka diya hai
us ne aasman ki taraf dekha
aur thuk nigal liya
wahan use
koi nazar nahin aaya
mujhe pata na chalta
wo lafzon mein chhup jata
wahin se nahusat se muskuraata
dikhai paDta
kabhi kabhi
main ne us se
jaan chhuDani chahi
jab main phul le raha tha
us laDki ke liye
jis ka dil
ek phul se bhi ziyaada
narm aur halka tha
main ne us se
jaan chhuDani chahi
jab dhup diwaron se
utarne ka nam nahin leti thi
aur lamhe unghte the
main in dhup bhari diwaron mein
use dafn karna chahta tha
main ne us se jaan chhuDani chahi
jab main ne pahli bar
sach bolna sikha
ye use pasand nahin aaya
us ne karodh mein
aaina ijad kiya
aur mere samne rakh diya
main ne dekha
wahi darinda
main KHud hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.