wahi kahani baDi purani
māneñ yā mat māneñ chachchī
baat hai merī bilkul sachchī
vahī kahānī baḌī purānī
shurūa kareñgī mujhe sunānī
duur kahīñ ḳhush-hāl nagar meñ
ek thā raajā ek thī raanī
jañgal meñ ik dev thā kaalā
ek thī jādū-garnī kaanī
le ga.e donoñ shahzādī ko
chhuT gayā us kā daana paanī
koī un se jiit na paayā
baḌe baḌoñ kī mar ga.ī naanī
ik charvāhe ke beTe ne
dikhlā.ī apnī jaulānī
un donoñ ko jaan se maarā
maar ke kar dī ḳhatm kahānī
aap samajhtī haiñ ki jaise
maiñ bhī huuñ ik buddhū bachchī
māneñ yā mat māneñ chachchī
baat hai merī bilkul sachchī
kaalī ho ga.iiñ merī rāteñ
sun sun kar ye bor sī bāteñ
koī jādū-garnī dekhī
aur na dekhīñ dev kī ghāteñ
charvāhā bhī milā na koī
kahāñ haiñ aisī zāteñ-pāteñ
shaah to bas shatranj meñ hai ab
vo bhī khā jaatā hai māteñ
malika haañ ik london meñ hai
par vo kahāñ pichhlī auqāteñ
shahzādī bhī hai to sahī par
kahāñ haiñ jañgal dev kī bāteñ
chachchā se gar puchhvā duuñ maiñ
ho jā.egī aap kī kachchī
māneñ yā mat māneñ chachchī
baat hai merī bilkul sachchī
manen ya mat manen chachchi
baat hai meri bilkul sachchi
wahi kahani baDi purani
shurua karengi mujhe sunani
dur kahin KHush-haal nagar mein
ek tha raja ek thi rani
jangal mein ek dew tha kala
ek thi jadu-garni kani
le gae donon shahzadi ko
chhuT gaya us ka dana pani
koi un se jit na paya
baDe baDon ki mar gai nani
ek charwahe ke beTe ne
dikhlai apni jaulani
un donon ko jaan se mara
mar ke kar di KHatm kahani
aap samajhti hain ki jaise
main bhi hun ek buddhu bachchi
manen ya mat manen chachchi
baat hai meri bilkul sachchi
kali ho gain meri raaten
sun sun kar ye bor si baaten
koi jadu-garni dekhi
aur na dekhin dew ki ghaten
charwaha bhi mila na koi
kahan hain aisi zaten-paten
shah to bas shatranj mein hai ab
wo bhi kha jata hai maten
malika han ek london mein hai
par wo kahan pichhli auqaten
shahzadi bhi hai to sahi par
kahan hain jangal dew ki baaten
chachcha se gar puchhwa dun main
ho jaegi aap ki kachchi
manen ya mat manen chachchi
baat hai meri bilkul sachchi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.