wahi maKHdush haalat
hamesha se vahī maḳhdūsh hālat
ek aadhī meñgnī dum se lagī hai
naak meñ balġham bharā hai
haDDiyāñ ubhrī huī haiñ pusht kī
do roz pahle hī
muñDī hai uun merī
sardiyoñ ke din haiñ
chaTyal be-numū maidān meñ
revaḌ ke andar
sar jhukā.e
ghaas kī ummīd meñ
maddham shikasta chaal chaltā
ḳhushk DanThal
aur polythene ke murda lifāfoñ ko chabātā
din Dhale baaḌe meñ aatā huuñ
hamesha se vahī dozaḳh kī bhārī raat
kohna ḳhauf kā asrār
gahrī bū
nukīlī qatliyoñ vaale suar
kuttoñ kī lambī bhūñk
kohre aur andhere kī chaḌhā.ī
bheḌiyoñ ke daañt
ḳhatra!
sub.h-dam baaḌe meñ
koī aadmī aatā hai
moTī chhāl kī rassī gale meñ Dāltā hai
zab.h-ḳhāne kī taraf chaltā hai
duniyā apne andar mast hai
arz-o-samā apnī jagah maujūd haiñ
paanī usī sur.at se dariyāoñ meñ bahtā hai
pahāḌoñ kī vahī istādgī
sab kuchh vahī hai
hast kī sāñseñ
musalsal chal rahī haiñ
muzmahil kamzor Tāñgeñ
ek duuje se ulajhtī dastiyāñ
be-mā.egī kā āḳhirī lamha
zabān-e-be-zabānī
ek dam gardan pe
tezī se chhurī chaltī hai
qissa ḳhatm hotā hai
hamesha se yahāñ qurbān hotā aa rahā huuñ
kār-āmad jānvar huuñ
khaal se juute
sunahrī uun se bantī haiñ sar kī Topiyāñ
aur gosht paktā hai
hamesha se wahi maKHdush haalat
ek aadhi meingni dum se lagi hai
nak mein balgham bhara hai
haDDiyan ubhri hui hain pusht ki
do roz pahle hi
munDi hai un meri
sardiyon ke din hain
chaTyal be-numu maidan mein
rewaD ke andar
sar jhukae
ghas ki ummid mein
maddham shikasta chaal chalta
KHushk DanThal
aur polythene ke murda lifafon ko chabaata
din Dhale baDe mein aata hun
hamesha se wahi dozaKH ki bhaari raat
kohna KHauf ka asrar
gahri bu
nukili qatliyon wale suar
kutton ki lambi bhunk
kohre aur andhere ki chaDhai
bheDiyon ke dant
KHatra!
subh-dam baDe mein
koi aadmi aata hai
moTi chhaal ki rassi gale mein Dalta hai
zabh-KHane ki taraf chalta hai
duniya apne andar mast hai
arz-o-sama apni jagah maujud hain
pani usi surat se dariyaon mein bahta hai
pahaDon ki wahi istadgi
sab kuchh wahi hai
hast ki sansen
musalsal chal rahi hain
muzmahil kamzor Tangen
ek duje se ulajhti dastiyan
be-maegi ka aaKHiri lamha
zaban-e-be-zabani
ek dam gardan pe
tezi se chhuri chalti hai
qissa KHatm hota hai
hamesha se yahan qurban hota aa raha hun
kar-amad jaanwar hun
khaal se jute
sunahri un se banti hain sar ki Topiyan
aur gosht pakta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.