wahi narm lahja
Interesting Fact
(Funun, Lahore, June 1973)
vahī narm lahja
jo itnā mulā.em hai jaise
dhanak giit ban ke samā.at ko chhūne lagī ho
shafaq narm komal suroñ meñ koī pyaar kī baat kahne chalī ho
kis qadar rang-o-āhang kā kis qadar ḳhūbsūrat safar
vahī narm lahja
kabhī apne maḳhsūs andāz meñ mujh se bāteñ karegā
to aisā lage
jaise resham ke jhūle pe koī madhur giit halkore lene lagā ho
vahī narm lahja
kisī shoḳh lamhe meñ us kī hañsī ban ke bikhre
to aisā lage
jaise qaus-e-quzah ne kahīñ paas hī apnī pāzeb chhankā.ī hai
hañsī ko vo rim-jhim
ki jaise fazā meñ banafshī chamakdār būñdoñ ke ghuñghrū chhanakne lage hoñ
ki phir
us kī āvāz kā lams pā ke
havāoñ ke hāthoñ meñ an-dekhe kañgan khanakne lage hoñ
vahī narm lahja mujhe chheḌne par jab aa.e
to aisā lagegā
jaise sāvan kī chanchal havā
sabz pattoñ ke jhāñjhan pahan
surḳh phūloñ kī paa.el bajātī huī
mere ruḳhsār ko
gaahe gaahe sharāre se chhūne lage
maiñ jo dekhūñ palaT ke to vo
bhaag jaa.e magar
duur peḌoñ meñ chhup kar hañse
aur phir nanhe bachchoñ kī mānind ḳhush ho ke taalī bajāne lage
vahī narm lahja
ki jis ne mire zaḳhm-e-jāñ pe hamesha shagufta gulāboñ kī shabnam rakhī hai
bahāroñ ke pahle parinde kī mānind hai
jo sadā aane vaale na.e sukh ke mausam kā qāsid banā hai
usī narm lahje ne phir mujh ko āvāz dī hai
wahi narm lahja
jo itna mulaem hai jaise
dhanak git ban ke samaat ko chhune lagi ho
shafaq narm komal suron mein koi pyar ki baat kahne chali ho
kis qadar rang-o-ahang ka kis qadar KHubsurat safar
wahi narm lahja
kabhi apne maKHsus andaz mein mujh se baaten karega
to aisa lage
jaise resham ke jhule pe koi madhur git halkore lene laga ho
wahi narm lahja
kisi shoKH lamhe mein us ki hansi ban ke bikhre
to aisa lage
jaise qaus-e-quzah ne kahin pas hi apni pazeb chhankai hai
hansi ko wo rim-jhim
ki jaise faza mein banafshi chamakdar bundon ke ghunghru chhanakne lage hon
ki phir
us ki aawaz ka lams pa ke
hawaon ke hathon mein an-dekhe kangan khanakne lage hon
wahi narm lahja mujhe chheDne par jab aae
to aisa lagega
jaise sawan ki chanchal hawa
sabz patton ke jhanjhan pahan
surKH phulon ki pael bajati hui
mere ruKHsar ko
gahe gahe sharare se chhune lage
main jo dekhun palaT ke to wo
bhag jae magar
dur peDon mein chhup kar hanse
aur phir nanhe bachchon ki manind KHush ho ke tali bajaane lage
wahi narm lahja
ki jis ne mere zaKHm-e-jaan pe hamesha shagufta gulabon ki shabnam rakhi hai
bahaaron ke pahle parinde ki manind hai
jo sada aane wale nae sukh ke mausam ka qasid bana hai
usi narm lahje ne phir mujh ko aawaz di hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.