wahm
maiñ kuchh dinoñ se pareshāñ bhī huuñ
udaas bhī huuñ
kabhī to TūTte dekhī hai shāḳh-e-gul maiñ ne
kabhī kisī kā baserā ujaḌte dekhā hai
na jaane ḳhvāb ye kaise haiñ
jin kī tā'bīreñ
mire shu.ūr meñ aksar bhaTaktī rahtī haiñ
ḳhudā kare ki ye lamhāt tum se duur raheñ
ye vahm saare tumheñ haath bhī lagā na sakeñ
main kuchh dinon se pareshan bhi hun
udas bhi hun
kabhi to TuTte dekhi hai shaKH-e-gul main ne
kabhi kisi ka basera ujaDte dekha hai
na jaane KHwab ye kaise hain
jin ki ta'biren
mere shuur mein aksar bhaTakti rahti hain
KHuda kare ki ye lamhat tum se dur rahen
ye wahm sare tumhein hath bhi laga na saken
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.