wahm nahin hai
Dhalte Dhalte
ek rupahle manzar ne kuchh sochā palTā
pagDanDī sunsān paḌī thī
maTyālī aur sard havā.eñ
haath jhulātī shāḳheñ
rūkhe sūkhe patte
tanhā peḌ pe baiThe baiThe
chaTaḳh rahe the
TuuT rahe the
ḳhaak uḌātī pagDanDī par
shaam samay kā dhundlā bādal
jhukne lagā thā
Dhalte Dhalte
ek rupahle manzar kī un bhed bharī
āñkhoñ meñ koī
jugnū chamkā taarā TuuTā vahm nahīñ hai
aaj un khoī khoī
bojhal āñkhoñ meñ
koī jugnū chamkā
taarā TuuTā
lahza bhar ko
vahm nahīñ hai
Dhalte Dhalte
ek rupahle manzar ne kuchh socha palTa
pagDanDi sunsan paDi thi
maTyali aur sard hawaen
hath jhulati shaKHen
rukhe sukhe patte
tanha peD pe baiThe baiThe
chaTaKH rahe the
TuT rahe the
KHak uDati pagDanDi par
sham samay ka dhundla baadal
jhukne laga tha
Dhalte Dhalte
ek rupahle manzar ki un bhed bhari
aankhon mein koi
jugnu chamka tara TuTa wahm nahin hai
aaj un khoi khoi
bojhal aankhon mein
koi jugnu chamka
tara TuTa
lahza bhar ko
wahm nahin hai
- Book : Khawab Ki Hatheli Per (Pg. 44)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.