wahm yaqin
mere ghar ke har kamre meñ
ek hī chehra jhāñk rahā hai
dīvāroñ par aks hai us kā
darvāzoñ par lams hai us kā
har aahaT meñ us kī aahaT
har lamhe maujūd hai lekin
phir bhī tayaqqun soch rahā hai
kaun hai mere vahm ke ghar meñ
kaun añdhere khol rahā hai, kaun ḳhamoshī bol rahā hai
kis ne mere dard ke dil ko
haath kā marham baḳhsh diyā hai
kis ne merī tanhā.ī meñ
apnā chehra chhoḌ diyā hai
mere ghar ke har kamre mein
ek hi chehra jhank raha hai
diwaron par aks hai us ka
darwazon par lams hai us ka
har aahaT mein us ki aahaT
har lamhe maujud hai lekin
phir bhi tayaqqun soch raha hai
kaun hai mere wahm ke ghar mein
kaun andhere khol raha hai, kaun KHamoshi bol raha hai
kis ne mere dard ke dil ko
hath ka marham baKHsh diya hai
kis ne meri tanhai mein
apna chehra chhoD diya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.