wahshi
maiñ ne to ik vahshī se
pyaar kī aas lagā.ī hai
mere man kī belā bhī
us ke lams ko paane kī
ḳhvāhish meñ betāb huī
tan meñ halchal jaarī hai
be-qābū jazbāt bhī haiñ
aur ye bhī ma.alūm hai mujh ko
vo vahshī dīvāna hai
nochegā
aur rauñd ke mujh ko
vo aage baḌh jā.egā
main ne to ek wahshi se
pyar ki aas lagai hai
mere man ki bela bhi
us ke lams ko pane ki
KHwahish mein betab hui
tan mein halchal jari hai
be-qabu jazbaat bhi hain
aur ye bhi malum hai mujh ko
wo wahshi diwana hai
nochega
aur raund ke mujh ko
wo aage baDh jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.