wajud apna mujhe de do
tumhāre haiñ kaho ik din
kaho ik din
ki jo kuchh bhī hamāre paas hai sab kuchh tumhārā hai
kaho ik din
jise tum chāñd sā kahte ho vo chehra tumhārā thā
sitāra sī jinheñ kahte ho vo āñkheñ tumhārī haiñ
jinheñ tum shāḳh sī kahte ho vo bāñheñ tumhārī haiñ
kabūtar tolte haiñ par to parvāzeñ tumhārī haiñ
jinheñ tum phuul sī kahte ho vo bāteñ tumhārī haiñ
qayāmat sī jinheñ kahte ho raftāreñ tumhārī haiñ
kaho ik din
kaho ik din
ki jo kuchh bhī hamāre paas hai sab kuchh tumhārā hai
agar sab kuchh ye merā hai to sab kuchh baḳhsh do ik din
vajūd apnā mujhe de do mohabbat baḳhsh do ik din
mire hoñToñ pe apne hoñT rakh kar ruuh merī khīñch lo ik din
tumhaare hain kaho ek din
kaho ek din
ki jo kuchh bhi hamare pas hai sab kuchh tumhaara hai
kaho ek din
jise tum chand sa kahte ho wo chehra tumhaara tha
sitara si jinhen kahte ho wo aankhen tumhaari hain
jinhen tum shaKH si kahte ho wo banhen tumhaari hain
kabutar tolte hain par to parwazen tumhaari hain
jinhen tum phul si kahte ho wo baaten tumhaari hain
qayamat si jinhen kahte ho raftaren tumhaari hain
kaho ek din
kaho ek din
ki jo kuchh bhi hamare pas hai sab kuchh tumhaara hai
agar sab kuchh ye mera hai to sab kuchh baKHsh do ek din
wajud apna mujhe de do mohabbat baKHsh do ek din
mere honTon pe apne honT rakh kar ruh meri khinch lo ek din
- Book : Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 406)
- Author : Munavvar Jameel
- Publication : Haji Haneef Printer Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.