wajud aur ibn-e-adam
1
ham kisī aur sitāre se yahāñ aa.e the
yaad rakhnā thī yahī baat magar bhuul ga.e
ham ne jab chāñd pe rakkhā thā qadam
yaad aayā thā hameñ us kā badan
ham magar apnoñ kī bātoñ meñ magan
vādī-e-yād kī gahrā.ī meñ utre hī nahīñ
kaash us lamhe kī āvāz ko ham sun lete
phir hameñ vaqt ke changul se rihā.ī hotī
ġhaar ke paar safedī na siyāhī hotī
2
zamīñ kā zamāna hai ye
ham zamīñ-bos hue
sabz rañgoñ ke sarāb
nīlgūñ sat.h-e-āb
ham falak-bos hue
aur ye bhuul ga.e
the kabhī apne badan par tere qadmoñ ke nishāñ
sabz pattoñ ke sivā
aur bhī rang the rangoñ se sivā
kaun sā kaif thā in chīzoñ meñ
jin kī tum ruuh the ham paikar the
nuur ho saaya ho ki tārīkī ho
laakh maiñ jism se aur ruuh se ārāsta pairāsta ho kar uTThūñ
ban bhī jaa.e ye zamīñ
merī karishma-gah-e-ālāt-garī
tū magar aur hī kuchh chiiz hai
tū na nuurī hai na naarī hai na ḳhāk-e-ābī
tū na shamsī hai na arzī hai na hai mahtābī
tū na mirrīḳh se zohra se na sartān se hai
tere qadmoñ ke nishāñ aur kahīñ dekhe the
jism qad shakl ye atvār ye tevar tere
terī bū-bās libās phuul ye zevar tere
ḳhāmushī terī ye āvāz ye chalnā terā aanā jaanā
ye sitāroñ kā ġhubār
silsila hai ye adāoñ kā
ki hai jism ke pardoñ pe terī ruuh ke naġhmoñ kā ḳhumār
ik na.ī shaan kā har roz nikhār
aur phir sochtā huuñ
tū to kuchh aur hai in chīzoñ kā majmūa nahīñ
tū to kuchh aur hai in se bhī sivā
in ke hone kā na hone kā bhī pāband nahīñ terā vajūd
tere qadmoñ ke nishāñ aur kahīñ dekhe the
tere qadmoñ se to hai aaj bhī shādāb mirā saarā vajūd
yaad rakhne kī yahī baat thī ibn-e-ādam
tum ne jab chāñd pe rakkhā thā qadam
tum kisī aur sitāre se yahāñ aa.e the
1
hum kisi aur sitare se yahan aae the
yaad rakhna thi yahi baat magar bhul gae
hum ne jab chand pe rakkha tha qadam
yaad aaya tha hamein us ka badan
hum magar apnon ki baaton mein magan
wadi-e-yaad ki gahrai mein utre hi nahin
kash us lamhe ki aawaz ko hum sun lete
phir hamein waqt ke changul se rihai hoti
ghaar ke par safedi na siyahi hoti
2
zamin ka zamana hai ye
hum zamin-bos hue
sabz rangon ke sarab
nilgun sath-e-ab
hum falak-bos hue
aur ye bhul gae
the kabhi apne badan par tere qadmon ke nishan
sabz patton ke siwa
aur bhi rang the rangon se siwa
kaun sa kaif tha in chizon mein
jin ki tum ruh the hum paikar the
nur ho saya ho ki tariki ho
lakh main jism se aur ruh se aarasta pairasta ho kar uTThun
ban bhi jae ye zamin
meri karishma-gah-e-alat-gari
tu magar aur hi kuchh chiz hai
tu na nuri hai na nari hai na KHak-e-abi
tu na shamsi hai na arzi hai na hai mahtabi
tu na mirriKH se zohra se na sartan se hai
tere qadmon ke nishan aur kahin dekhe the
jism qad shakl ye atwar ye tewar tere
teri bu-bas libas phul ye zewar tere
KHamushi teri ye aawaz ye chalna tera aana jaana
ye sitaron ka ghubar
silsila hai ye adaon ka
ki hai jism ke pardon pe teri ruh ke naghmon ka KHumar
ek nai shan ka har roz nikhaar
aur phir sochta hun
tu to kuchh aur hai in chizon ka majmua nahin
tu to kuchh aur hai in se bhi siwa
in ke hone ka na hone ka bhi paband nahin tera wajud
tere qadmon ke nishan aur kahin dekhe the
tere qadmon se to hai aaj bhi shadab mera sara wajud
yaad rakhne ki yahi baat thi ibn-e-adam
tum ne jab chand pe rakkha tha qadam
tum kisi aur sitare se yahan aae the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.