wajud-e-zan
dil ke mandir meñ huuñ ek mūrat huuñ maiñ
maiñ ki pur-kaif huuñ ḳhūbsūrat huuñ maiñ
maañ kī mamtā huuñ maiñ ek aurat huuñ maiñ
mujh ko samjho zarā bint-e-havvā huuñ maiñ
ik qasīda huuñ maiñ ek nauha huuñ maiñ
ek aurat huuñ maiñ ek hurmat huuñ maiñ
gulshan-e-zīst meñ ek farhat huuñ maiñ
maiñ azal se mohabbat kā unvān huuñ
husn-e-fitrat kī maiñ ek pahchān huuñ
dast-e-qismat ke hāthoñ dhanī maiñ huī
zulm had se baḌhā to vanī maiñ huī
ye sabaq yaad hai merī aulād ko
mere qadmoñ meñ jannat banā.ī ga.ī
mere husn-e-taḳhayyul pe qurbān sab merī ḳhātir ye duniyā sajā.ī ga.ī
merī āġhosh meñ haiñ payambar pale
maiñ ki ḳhush-baḳht huuñ kitne rahbar pale
rang ḳhushbū dhanak phuul jugnū sabā merī ḳhātir chaman ko sañvārā gayā
husn qaa.em hai aurat kī taḳhlīq se is liye āsmāñ se utārā gayā
dil ke mandir mein hun ek murat hun main
main ki pur-kaif hun KHubsurat hun main
man ki mamta hun main ek aurat hun main
mujh ko samjho zara bint-e-hawwa hun main
ek qasida hun main ek nauha hun main
ek aurat hun main ek hurmat hun main
gulshan-e-zist mein ek farhat hun main
main azal se mohabbat ka unwan hun
husn-e-fitrat ki main ek pahchan hun
dast-e-qismat ke hathon dhani main hui
zulm had se baDha to wani main hui
ye sabaq yaad hai meri aulad ko
mere qadmon mein jannat banai gai
mere husn-e-taKHayyul pe qurban sab meri KHatir ye duniya sajai gai
meri aaghosh mein hain payambar pale
main ki KHush-baKHt hun kitne rahbar pale
rang KHushbu dhanak phul jugnu saba meri KHatir chaman ko sanwara gaya
husn qaem hai aurat ki taKHliq se is liye aasman se utara gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.