wajud ka phailaw
mohabbat ḳhvāb ho jaa.e
havā ke saath kho jaa.e
samundar ke kināre
zard chehra shaam kā manzar
kisī kī yaad kā nashtar
kabhī dil meñ utar jaa.e
kisī dukh se
kabhī jab aañkh bhar aa.e
isī Thahrī huī saa.at meñ
lagtā hai
ki jaise
dard meñ Duube hue sab dil
namī se jhilmilātī saarī āñkheñ
merī apnī haiñ
mohabbat KHwab ho jae
hawa ke sath kho jae
samundar ke kinare
zard chehra sham ka manzar
kisi ki yaad ka nashtar
kabhi dil mein utar jae
kisi dukh se
kabhi jab aankh bhar aae
isi Thahri hui saat mein
lagta hai
ki jaise
dard mein Dube hue sab dil
nami se jhilmilati sari aankhen
meri apni hain
- Book : Tabani (Pg. 56)
- Author : Mubeen Mirza
- Publication : Academy Bazyaft (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.