wajudiyat
vo mere jism meñ hote hue bhī
har samt bikhrā huā hai
jo zamīñ pe hai na havā meñ hai
harf-o-ma.anī kī har qaid se āzād rishta
tirī yaad meñ guzrā har din nayā hai
jo aa.ina bhī
aa.ine kā hijāb bhī hai
mere taḳhayyul se us ke zehn tak
na koī falak hai na koī ḳhalā hai
musta.ār falsafoñ se aarī
ham apnī kitāb ḳhud
ḳhud hī apne kitāb-ḳhvāñ
maiñ huuñ dhuup to vo chhāñv hai
fāsla ek hai donoñ jānib
ki is adam ko abhī hast honā hai
na koī sar pe khaḌā abr
na ghanī chhāñv kā saaya hai
jo mere azal se mere abad tak
merā ham-safar ban gayā hai
vo mere jism meñ hote hue bhī
har samt bikhrā huā hai
wo mere jism mein hote hue bhi
har samt bikhra hua hai
jo zamin pe hai na hawa mein hai
harf-o-mani ki har qaid se aazad rishta
teri yaad mein guzra har din naya hai
jo aaina bhi
aaine ka hijab bhi hai
mere taKHayyul se us ke zehn tak
na koi falak hai na koi KHala hai
mustaar falsafon se aari
hum apni kitab KHud
KHud hi apne kitab-KHwan
main hun dhup to wo chhanw hai
fasla ek hai donon jaanib
ki is adam ko abhi hast hona hai
na koi sar pe khaDa abr
na ghani chhanw ka saya hai
jo mere azal se mere abad tak
mera ham-safar ban gaya hai
wo mere jism mein hote hue bhi
har samt bikhra hua hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.