wal-asr
ujālā tārīkī meñ muntaqil hotā dekh kar
banjar zehn par
ḳhud-sāḳhta uge
sumūdī daraḳht kī ujḌī Tahniyoñ par jumbish
naqqāra-e-zāt hai
zarḳhez savāl kā paanī choñch meñ bhare
rangīn parinda pyaas kī vaadī meñ numūdār huā
visāl kyoñ hijr kī jānib gāmzan hai
shabāb par zardī kaisī
nāchtī ḳhushiyāñ
ġham ḳhushbū se lipTī
ehtimāl-āmez haiñ
zindagī kā diyā
siyāh saa.e tale TimTimā rahā hai
din-bhar reñgte hue sūraj ne
āvāza lagāyā
val-asr
aur mujh se
innal-insāna lafī ḳhusr
kī tafsīr kalām karne lagī
ujala tariki mein muntaqil hota dekh kar
banjar zehn par
KHud-saKHta uge
sumudi daraKHt ki ujDi Tahniyon par jumbish
naqqara-e-zat hai
zarKHez sawal ka pani chonch mein bhare
rangin parinda pyas ki wadi mein numudar hua
visal kyon hijr ki jaanib gamzan hai
shabab par zardi kaisi
nachti KHushiyan
gham KHushbu se lipTi
ehtimal-amez hain
zindagi ka diya
siyah sae tale TimTima raha hai
din-bhar rengte hue suraj ne
aawaza lagaya
wal-asr
aur mujh se
innal-insana lafi KHusr
ki tafsir kalam karne lagi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.