walima KHatm hone ke baad
ḳhudā jaane
bulāve Thiik se bāñTe nahīñ laḌke ne
yā mujh se
purānī dushmanī koī nikālī hai galī vāloñ ne mere
na aa kar
jo khānā bach gayā itnā
ba-har-sūrat mujhe kyā farq paḌtā hai
vo jis ko saañs kā āzār ho
us ko bhalā zarde se biryānī se kyā matlab
kahīñ bāñTo ise merī balā se
magar jo lakḌiyāñ tandūr kī baaqī bachī haiñ
ye kahīñ par dhyān se rakh do
isī jaaḌe meñ mumkin hai tumheñ in kī zarūrat ho
na jaane kyoñ
hamesha se mujhe lagtā hai merī maut ke din
raat ko kohra bahut hogā
KHuda jaane
bulawe Thik se banTe nahin laDke ne
ya mujh se
purani dushmani koi nikali hai gali walon ne mere
na aa kar
jo khana bach gaya itna
ba-har-surat mujhe kya farq paDta hai
wo jis ko sans ka aazar ho
us ko bhala zarde se biryani se kya matlab
kahin banTo ise meri bala se
magar jo lakDiyan tandur ki baqi bachi hain
ye kahin par dhyan se rakh do
isi jaDe mein mumkin hai tumhein in ki zarurat ho
na jaane kyon
hamesha se mujhe lagta hai meri maut ke din
raat ko kohra bahut hoga
- Book : Dukh Naye Kapde Badal Kar (Pg. 136)
- Author : Shariq Kaifi
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.