waqfa
mere dast-e-muqaddar pe ye gāmzan
muddatoñ āfatoñ se guzartī rahīñ
mere dukh dard meñ ye bhī shāmil rahīñ
ungliyāñ thaam kar mere ḳhvāboñ kī ye sang chaltī rahīñ manziloñ kī taraf
merī āñkhoñ ne jo kuchh na dekhā abhī
misl-e-ā.īna mujh ko dikhātī haiñ ye
vo sabhī giit jo maiñ ne likkhe nahīñ
vo mujhe gungunā kar sunātī haiñ ye
bhed jīvan ke mujh ko batātī haiñ ye
in ko bhī to ḳhudā ne atā kī zabāñ
mere hāthoñ kī rekhā.eñ gūñgī nahīñ
aaj ḳhāmosh haiñ
mere dast-e-muqaddar pe ye gamzan
muddaton aafaton se guzarti rahin
mere dukh dard mein ye bhi shamil rahin
ungliyan tham kar mere KHwabon ki ye sang chalti rahin manzilon ki taraf
meri aankhon ne jo kuchh na dekha abhi
misl-e-aina mujh ko dikhati hain ye
wo sabhi git jo main ne likkhe nahin
wo mujhe gunguna kar sunati hain ye
bhed jiwan ke mujh ko batati hain ye
in ko bhi to KHuda ne ata ki zaban
mere hathon ki rekhaen gungi nahin
aaj KHamosh hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.