waqfa
sard rātoñ kī garmī
jhulaste dinoñ kī havā le ga.ī
regzāroñ pe
bārūd kī bū se jhulse hue ḳhushk patte
bikharne lage
chīḳhte aag ugalte garajte hue
zahr-ālūd lahje
achānak badalne lage
piilī āñkhoñ se tārīk chashme utarne lage
saare aḳhbār kī surḳhiyāñ ghaT ga.iiñ
sahmī sahmī zamīñ apnī āġhosh meñ
TuuTe phūTe gharauñde chhupā.e hue
hāñptī kāñptī
khel ke ik na.e daur kī muntazir
apne beToñ kī gintī meñ masrūf hai
sard raaton ki garmi
jhulaste dinon ki hawa le gai
regzaron pe
barud ki bu se jhulse hue KHushk patte
bikharne lage
chiKHte aag ugalte garajte hue
zahr-alud lahje
achanak badalne lage
pili aankhon se tarik chashme utarne lage
sare aKHbar ki surKHiyan ghaT gain
sahmi sahmi zamin apni aaghosh mein
TuTe phuTe gharaunde chhupae hue
hanpti kanpti
khel ke ek nae daur ki muntazir
apne beTon ki ginti mein masruf hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.