waqt
sar-bar-āvurda sanobar kī ghanī shāḳhoñ meñ
chāñd billor kī TuuTī huī chūḌī kī tarah aTkā hai
dāman-e-koh kī ik bastī meñ
TimTimāte haiñ mazāroñ pe charāġh
āsmāñ surma.ī farġhul meñ sitāre Tāñke
simTā jaatā hai jhukā aatā hai
vaqt be-zār nazar aatā hai
sar-bar-āvurda sanobar kī ghanī shāḳhoñ meñ
sub.h kī nuqra.ī tanvīr rachī jaatī hai
dāman-e-koh meñ bikhre hue khet
lahlahāte haiñ to dhartī ke tanaffus kī sadā aatī hai
āsmāñ kitnī bulandī pe hai aur kitnā aziim
na.e sūraj kī shuāoñ kā musaffā āñgan
vaqt bedār nazar aatā hai
sar-bar-āvurda sanobar kī ghanī shāḳhoñ meñ
āftāb ek alaao kī tarah raushan hai
dāman-e-koh meñ chalte hue hal
sīna-e-dahr pe insān ke jabrūt kī tārīḳh raqam karte haiñ
āsmāñ tez shuāoñ se hai is darja gudāz
jaise chhūne se pighal jā.egā
vaqt tayyār nazar aatā hai
sar-bar-āvurda sanobar kī ghanī shāḳhoñ meñ
zindagī kitne haqā.eq ko janam detī hai
dāman-e-koh meñ phaile hue maidānoñ par
zauq-e-taḳhlīq ne ejaaz dikhā.e haiñ lahū uglā hai
āsmāñ gardish-e-ayyām ke rele se hirāsāñ to nahīñ
ḳhair-maqdam ke bhī andāz huā karte haiñ
vaqt kī raah meñ moḌ aate haiñ manzil to nahīñ aa saktī
sar-bar-awurda sanobar ki ghani shaKHon mein
chand billor ki TuTi hui chuDi ki tarah aTka hai
daman-e-koh ki ek basti mein
TimTimate hain mazaron pe charagh
aasman surmai farghul mein sitare Tanke
simTa jata hai jhuka aata hai
waqt be-zar nazar aata hai
sar-bar-awurda sanobar ki ghani shaKHon mein
subh ki nuqrai tanwir rachi jati hai
daman-e-koh mein bikhre hue khet
lahlahate hain to dharti ke tanaffus ki sada aati hai
aasman kitni bulandi pe hai aur kitna azim
nae suraj ki shuaon ka musaffa aangan
waqt bedar nazar aata hai
sar-bar-awurda sanobar ki ghani shaKHon mein
aaftab ek alao ki tarah raushan hai
daman-e-koh mein chalte hue hal
sina-e-dahr pe insan ke jabrut ki tariKH raqam karte hain
aasman tez shuaon se hai is darja gudaz
jaise chhune se pighal jaega
waqt tayyar nazar aata hai
sar-bar-awurda sanobar ki ghani shaKHon mein
zindagi kitne haqaeq ko janam deti hai
daman-e-koh mein phaile hue maidanon par
zauq-e-taKHliq ne ejaz dikhae hain lahu ugla hai
aasman gardish-e-ayyam ke rele se hirasan to nahin
KHair-maqdam ke bhi andaz hua karte hain
waqt ki rah mein moD aate hain manzil to nahin aa sakti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.