waqt aur main
kal khaḌī ghaḌī kī sūiyāñ
maiñ ne utaar pheñkīñ
aur sukūt mab.hūt ko chaltā kiyā
phir vaqt numūdār huā aur bolā
tū chāhtā hai to maiñ tere andar utar jā.ūñ
ḳhuun ban kar dauḌūñ
aur tū mujh se aage nikal jaa.e
kal khaDi ghaDi ki suiyan
main ne utar phenkin
aur sukut mabhut ko chalta kiya
phir waqt numudar hua aur bola
tu chahta hai to main tere andar utar jaun
KHun ban kar dauDun
aur tu mujh se aage nikal jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.