waqt
bas ek iz.hār
hazāroñ rāteñ jagā saktā hai
be-shumār shāmeñ
mohabbat kī sirf ek lamhe ko daan kī jaatī haiñ
aur kabhī kabhī
har jiit anā ke karb se bojhal ho kar
pashemān rahtī hai
umr-e-ravāñ kā hāsil
is ek jumūd ko
dhutkārne kī ḳhvāhish kā naam hai
jo judā.ī ke ḳhauf se
dhaḌkanoñ ko mayassar rahtā hai
dekhā gayā hai
apnī zaat ke pujārī bhī
vaqt aane par
mohabbat kī bheñT chaḌhte haiñ
jangal meñ banī ek kuTiyā
us kī ek umda misāl hai
saarī umr
is ek tavaqquf kī
tashrīh meñ guzar saktī hai
jo kisī ne kisī se kuchh kahte hue
ek lamhe ko kiyā thā
bas ek iz.hār
hazāroñ rāteñ jagā saktā hai
aur kabhī kabhī ek hī mausam
sadiyoñ Thahar saktā hai
bas ek izhaar
hazaron raaten jaga sakta hai
be-shumar shamen
mohabbat ki sirf ek lamhe ko dan ki jati hain
aur kabhi kabhi
har jit ana ke karb se bojhal ho kar
pasheman rahti hai
umr-e-rawan ka hasil
is ek jumud ko
dhutkarne ki KHwahish ka nam hai
jo judai ke KHauf se
dhaDkanon ko mayassar rahta hai
dekha gaya hai
apni zat ke pujari bhi
waqt aane par
mohabbat ki bhenT chaDhte hain
jangal mein bani ek kuTiya
us ki ek umda misal hai
sari umr
is ek tawaqquf ki
tashrih mein guzar sakti hai
jo kisi ne kisi se kuchh kahte hue
ek lamhe ko kiya tha
bas ek izhaar
hazaron raaten jaga sakta hai
aur kabhi kabhi ek hi mausam
sadiyon Thahar sakta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.