waqt ek kahani-kar
vaqt sab se baḌā kahānī-kār
jo azal se har chehre par
āfāqī kahāniyāñ likh kar
chehroñ ko lamha-ba-lamha dāstāñ karne meñ masrūf
ek kahānī kī takmīl ke liye
an-ginat kirdār āsmān se utarte haiñ
siyāh o safed sā.atoñ kī bārish meñ bhīgte kore chehroñ par
vaqt sazā jazā kī aisī lā-zavāl kahāniyāñ tahrīr kartā hai
ki kitne hī chehre kā.enāt ke ibrat-kade meñ
āvezāñ hote haiñ
aur kitne hī raushniyoñ ke isti.āre bante haiñ
vaqt ke paas
āsmān se utartī kahāniyoñ ke
an-ginat Dher lage paḌe haiñ
jinheñ likh kar use
chehroñ kī kitnī hī adhūrī kitābeñ mukammal karnī haiñ
waqt sab se baDa kahani-kar
jo azal se har chehre par
aafaqi kahaniyan likh kar
chehron ko lamha-ba-lamha dastan karne mein masruf
ek kahani ki takmil ke liye
an-ginat kirdar aasman se utarte hain
siyah o safed saaton ki barish mein bhigte kore chehron par
waqt saza jaza ki aisi la-zawal kahaniyan tahrir karta hai
ki kitne hi chehre kaenat ke ibrat-kade mein
aawezan hote hain
aur kitne hi raushniyon ke istiare bante hain
waqt ke pas
aasman se utarti kahaniyon ke
an-ginat Dher lage paDe hain
jinhen likh kar use
chehron ki kitni hi adhuri kitaben mukammal karni hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.