waqt
har ik lamha jo mustaqbil thā maazī bantā jaatā hai
agar chāho to is lamhe ko umr-e-jāvedāñ samjho
use qaid-e-zamāñ meñ jalva-e-nūr-e-azal jaano
dam-e-jibrīl samjho yā matā.a-e-kun-fakāñ samjho
abad ke dasht meñ jo qatra-e-vaqt-e-ravāñ gum ho
use pahnā.iyoñ meñ ek bahr-e-be-karāñ samjho
kamāl-e-ḳhud-farebī se fanā ko bhī baqā jaano
aur apnī ḳhush-ḳhayālī se makāñ ko lā-makāñ samjho
makāñ qaid-e-zamāñ aur lā-makāñ jab lā-zamāñ Thahre
abad se munsalik phir vaqt kā sail-e-ravāñ kyoñ ho
agar taqdīm-e-insāñ kī haqīqat ek lamha hai
vo ik lamha kabhī juzv-e-hayāt-e-jāvedāñ kyoñ ho
vo lamha jo hai ik mauj-e-nafas se bhī faromāya
fareb-e-chashm hai ik ramz-e-taḳhlīq-e-jahāñ kyoñ ho
masāfat aur taharruk se huā paidā vo ik lamha
jo hai paimāna-e-imroz aur ganjīna-e-fardā
madār-e-arz par ik nuqta-e-sayyāl hai lamha
tilism-e-barq-e-larzāñ yā misāl-e-qatra-e-dariyā
sabāt aur be-sabātī meñ nahīñ rishta agar koī
tasavvur kyoñ ho baaqī vaqt-e-aslī aur izāfī kā
har ik lamha jo mustaqbil thā maazī bantā jaatā hai
jise sab haal kahte haiñ nahīñ koī vajūd us kā
har ek lamha jo mustaqbil tha mazi banta jata hai
agar chaho to is lamhe ko umr-e-jawedan samjho
use qaid-e-zaman mein jalwa-e-nur-e-azal jaano
dam-e-jibril samjho ya mataa-e-kun-fakan samjho
abad ke dasht mein jo qatra-e-waqt-e-rawan gum ho
use pahnaiyon mein ek bahr-e-be-karan samjho
kamal-e-KHud-farebi se fana ko bhi baqa jaano
aur apni KHush-KHayali se makan ko la-makan samjho
makan qaid-e-zaman aur la-makan jab la-zaman Thahre
abad se munsalik phir waqt ka sail-e-rawan kyon ho
agar taqdim-e-insan ki haqiqat ek lamha hai
wo ek lamha kabhi juzw-e-hayat-e-jawedan kyon ho
wo lamha jo hai ek mauj-e-nafas se bhi faromaya
fareb-e-chashm hai ek ramz-e-taKHliq-e-jahan kyon ho
masafat aur taharruk se hua paida wo ek lamha
jo hai paimana-e-imroz aur ganjina-e-farda
madar-e-arz par ek nuqta-e-sayyal hai lamha
tilism-e-barq-e-larzan ya misal-e-qatra-e-dariya
sabaat aur be-sabaati mein nahin rishta agar koi
tasawwur kyon ho baqi waqt-e-asli aur izafi ka
har ek lamha jo mustaqbil tha mazi banta jata hai
jise sab haal kahte hain nahin koi wajud us ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.