waqt ka chiDiya-ghar
maiñ vaqt ke chiḌiyā-ghar
jānvaroñ ke jangaloñ meñ un kī
tamām-tar zarūratoñ ke saath dī ga.ī āzādī
aur tumhāre dil ke kone-khudroñ meñ
mere junūn ko dī ga.ī āzārī meñ
kuchh ziyāda farq nahīñ dekhtī
sadhāne ke liye intizāmiya kī yaumiya aur
hafta-vār mēting ke zarīye be-muhāba jānvaroñ ko
usūloñ ke mutābiq sadhāne kā bharpūr amal
natīja-ḳhez sābit ho rahā hai
magar mujhe e'tirāf hai ki jañgle ke andar merī
zarūratoñ kā puurā puurā ḳhayāl rakkhā jā rahā hai
merī ḳhūrāk aur paanī pābandī se muqarrara vaqt par
pahuñchā.ī jā rahī hai
salāḳhoñ ke andar kā puurā ilāqa merī dastaras meñ
de diyā gayā hai
magar tamāsh-bīnoñ ke rivāyatī shauq se pahuñchne vaalī
aziyyat se tahaffuz bhī diyā jā rahā hai
kholiyoñ meñ baqā-e-bāhamī ke zarrīñ usuul ke tahat
dūsre jangaloñ tak pahuñchne ke rāste bhī masdūd
kar diye ga.e haiñ
sabze kaa.ī pattharoñ aur tālāb ke zariye masnūī duniyā kī
bunat aisī zarūr hai
ki koī bhī us pe asl hone kā dhokā
khā saktā hai
so maiñ bhī apne aap ko is ḳhūbsūrat māhaul
kā aadī banāne kī mukammal koshish kar rahī huuñ
main waqt ke chiDiya-ghar
jaanwaron ke jangalon mein un ki
tamam-tar zaruraton ke sath di gai aazadi
aur tumhaare dil ke kone-khudron mein
mere junun ko di gai aazari mein
kuchh ziyaada farq nahin dekhti
sadhane ke liye intizamiya ki yaumiya aur
hafta-war meeting ke zariye be-muhaba jaanwaron ko
usulon ke mutabiq sadhane ka bharpur amal
natija-KHez sabit ho raha hai
magar mujhe e'tiraf hai ki jangle ke andar meri
zaruraton ka pura pura KHayal rakkha ja raha hai
meri KHurak aur pani pabandi se muqarrara waqt par
pahunchai ja rahi hai
salaKHon ke andar ka pura ilaqa meri dastaras mein
de diya gaya hai
magar tamash-binon ke riwayati shauq se pahunchne wali
aziyyat se tahaffuz bhi diya ja raha hai
kholiyon mein baqa-e-bahami ke zarrin usul ke tahat
dusre jangalon tak pahunchne ke raste bhi masdud
kar diye gae hain
sabze kai pattharon aur talab ke zariye masnui duniya ki
bunat aisi zarur hai
ki koi bhi us pe asl hone ka dhoka
kha sakta hai
so main bhi apne aap ko is KHubsurat mahaul
ka aadi banane ki mukammal koshish kar rahi hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.