waqt ka nauha
mere ruī ke bistaraoñ ke sulagne se
sahn meñ dhuāñ phailtā jā rahā hai
gharoñ kī chilmanoñ se us paar
bāhar baiThī havā ro rahī hai
nizām-saqqā pyaas kī ok ke sāmne
sabīl lagā.e hue al-atash bāñTtā hai
zamāna pyaas ke nauhe par
mātamī daf bajā rahā hai
w T o anaaj kī gaThriyoñ pe baiThī
bhūkoñ ko amn ke hurūf se bharī
plate de rahī hai
U N O kī aañkh ke kināroñ kī jumbihsoñ se duniyā
kapkapā rahī hai
maañ
māmtā ko hañsī aa rahī hai
duudh kī jagah chhātiyoñ meñ
nazariye aur falsafe ghole jā rahe haiñ
vaqt kī Dor par jhūlte bachchoñ se
jhūlne ke auqāt chhīne jā rahe haiñ
bārūd bam missile aur dhamāke
dhartī kī kokh meñ dhakele jā rahe haiñ
mere rui ke bistaraon ke sulagne se
sahn mein dhuan phailta ja raha hai
gharon ki chilmanon se us par
bahar baiThi hawa ro rahi hai
nizam-saqqa pyas ki ok ke samne
sabil lagae hue al-atash banTta hai
zamana pyas ke nauhe par
matami daf baja raha hai
w T o anaj ki gaThriyon pe baiThi
bhukon ko amn ke huruf se bhari
plate de rahi hai
U N O ki aankh ke kinaron ki jumbihson se duniya
kapkapa rahi hai
man
mamta ko hansi aa rahi hai
dudh ki jagah chhatiyon mein
nazariye aur falsafe ghole ja rahe hain
waqt ki Dor par jhulte bachchon se
jhulne ke auqat chhine ja rahe hain
barud bam missile aur dhamake
dharti ki kokh mein dhakele ja rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.