waqt ke kaTahre mein
suno tumhārā jurm tumhārī kamzorī hai
apne jurm pe
rañg-birañge lafzoñ kī be-jān ridā.eñ mat Daalo
suno tumhāre ḳhvāb tumhārā jurm nahīñ haiñ
tum ḳhvāboñ kī ta.abīr se Dar kar
lafzoñ kī tārīk guphā meñ chhup rahne ke mujrim ho
tum ne havāoñ ke ziine par
paañv rakh kar
qaus-e-quzah ke rañg sameTe
aur ḳhalāoñ meñ uḌte
farzī tāroñ sayyāroñ kī bāteñ kiiñ
tum mujrim ho us nannhī koñpal ke jis ne
sub.h kī pahlī shoḳh kiran se sargoshī kī
tum mujrim ho us āñgan ke jis meñ shāyad
ab bhī tumhāre bachpan kī ma.asūm sharārat zinda hai
tum mujrim ho tum ne apne paañv se lipTī miTTī ko
ek izāfī chiiz samajh kar jhaaḌ diyā
suno tumhaara jurm tumhaari kamzori hai
apne jurm pe
rang-birange lafzon ki be-jaan ridaen mat Dalo
suno tumhaare KHwab tumhaara jurm nahin hain
tum KHwabon ki tabir se Dar kar
lafzon ki tarik gupha mein chhup rahne ke mujrim ho
tum ne hawaon ke zine par
panw rakh kar
qaus-e-quzah ke rang sameTe
aur KHalaon mein uDte
farzi taron sayyaron ki baaten kin
tum mujrim ho us nannhi konpal ke jis ne
subh ki pahli shoKH kiran se sargoshi ki
tum mujrim ho us aangan ke jis mein shayad
ab bhi tumhaare bachpan ki masum shararat zinda hai
tum mujrim ho tum ne apne panw se lipTi miTTi ko
ek izafi chiz samajh kar jhaD diya
- Book : azadi ke bad urdu nazm (Pg. 573)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.