waqt ke manzar
jitne ajiib manzar dikhte haiñ ham ko aksar
sab khel vaqt kā hai sab vaqt ke haiñ manzar
phūloñ kā muñh dhulā.e shabnam se jab saverā
panchhī sunā.eñ paḌh kar qur.ān aur bhajan ko
kaliyāñ khilīñ chaman meñ gul mahke anjuman meñ
sūraj kī uñglī pakḌe kirneñ chalīñ chaman ko
tab vaqt kā ye pahiyā kitnā lage hai sundar
sab khel vaqt kā hai sab vaqt ke haiñ manzar
dhakne lage jo paanī sāhil ko dhīre dhīre
panchhī bhī lauT jaa.eñ jis vaqt apne van ko
sūraj lagā.e surḳhī hoñToñ pe shaam ke jab
taare sajā.eñ aa kar jab raat kī dulhan ko
ham ko bhī kitnā pyārā lagtā hai tab vo bistar
sab khel vaqt kā hai sab vaqt ke manzar
bistar pe mahñge mahñge na niiñd ho mayassar
apne sukūñ kī ḳhātir vaare dhanī jo dhan ko
aur āsmān oḌhe fōtpath pe ho soyā
chūmeñ havā.eñ aa kar mazdūr ke badan ko
insāf tab ḳhudā kā kitnā lage hai behtar
sab khel vaqt kā hai sab vaqt ke haiñ manzar
raushan ḳhayāl le kar jab jhoñpaḌe meñ bachchī
baiThī ho chīthaḌoñ se Dhak kar ke apne tan ko
aur kuchh hasīn fitne karte phireñ numā.ish
fashion ke naam par vo dikhlā.eñ haiñ badan ko
tab vaqt ke sitam par sab dekhte haiñ hañs kar
sab khel vaqt kā hai sab vaqt ke haiñ manzar
jab kuchh amiir bachche khele haiñ mercedes se
kitne lage haiñ pyāre vo duur se nayan ko
aur āñsuoñ ke dariyā meñ kuchh ġharīb bachche
ik ik khilaune ḳhātir maare haiñ apne man ko
patthar pighal paḌeñ tab is baat ko to sun kar
sab khel vaqt kā hai sab vaqt ke haiñ manzar
jab ik niDar sipāhī apne vatan kī ḳhātir
sarhad pe jaan de kar puurā kare vachan ko
aur kuchh siyāsī mohre bik jaa.eñ thoḌe dhan se
dushman se mil ke toḌeñ ḳhud apne hī vatan ko
tab dil meñ bas junūñ kā uThtā hai ik bavanDar
sab khel vaqt kā hai sab vaqt ke haiñ manzar
jab rahbaroñ kī Tolī apne bhale kī ḳhātir
hāthoñ se phūñktī ho ḳhud apne hī chaman ko
maz.hab ke naam par yuuñ ham ko laḌā laḌā kar
dozaḳh banā rahī ho jannat-nishāñ vatan ko
dil pe 'shahāb' kitne chubhte haiñ dekho nashtar
sab khel vaqt kā hai sab vaqt ke haiñ manzar
jitne ajib manzar dikhte hain hum ko aksar
sab khel waqt ka hai sab waqt ke hain manzar
phulon ka munh dhulae shabnam se jab sawera
panchhi sunaen paDh kar quran aur bhajan ko
kaliyan khilin chaman mein gul mahke anjuman mein
suraj ki ungli pakDe kirnen chalin chaman ko
tab waqt ka ye pahiya kitna lage hai sundar
sab khel waqt ka hai sab waqt ke hain manzar
dhakne lage jo pani sahil ko dhire dhire
panchhi bhi lauT jaen jis waqt apne wan ko
suraj lagae surKHi honTon pe sham ke jab
tare sajaen aa kar jab raat ki dulhan ko
hum ko bhi kitna pyara lagta hai tab wo bistar
sab khel waqt ka hai sab waqt ke manzar
bistar pe mahnge mahnge na nind ho mayassar
apne sukun ki KHatir ware dhani jo dhan ko
aur aasman oDhe footpath pe ho soya
chumen hawaen aa kar mazdur ke badan ko
insaf tab KHuda ka kitna lage hai behtar
sab khel waqt ka hai sab waqt ke hain manzar
raushan KHayal le kar jab jhonpaDe mein bachchi
baiThi ho chithaDon se Dhak kar ke apne tan ko
aur kuchh hasin fitne karte phiren numaish
fashion ke nam par wo dikhlaen hain badan ko
tab waqt ke sitam par sab dekhte hain hans kar
sab khel waqt ka hai sab waqt ke hain manzar
jab kuchh amir bachche khele hain mercedes se
kitne lage hain pyare wo dur se nayan ko
aur aansuon ke dariya mein kuchh gharib bachche
ek ek khilaune KHatir mare hain apne man ko
patthar pighal paDen tab is baat ko to sun kar
sab khel waqt ka hai sab waqt ke hain manzar
jab ek niDar sipahi apne watan ki KHatir
sarhad pe jaan de kar pura kare wachan ko
aur kuchh siyasi mohre bik jaen thoDe dhan se
dushman se mil ke toDen KHud apne hi watan ko
tab dil mein bas junun ka uThta hai ek bawanDar
sab khel waqt ka hai sab waqt ke hain manzar
jab rahbaron ki Toli apne bhale ki KHatir
hathon se phunkti ho KHud apne hi chaman ko
mazhab ke nam par yun hum ko laDa laDa kar
dozaKH bana rahi ho jannat-nishan watan ko
dil pe 'shahab' kitne chubhte hain dekho nashtar
sab khel waqt ka hai sab waqt ke hain manzar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.