waqt ki dhul
aaj tū daf.atan sāmne aa ga.ī
terī raftār bād-e-sabā kī tarah
pandrah saal kā dard mahkā ga.ī
maiñ sar-e-rāh hairān sā rah gayā
yād-e-māzī kī shabnam barasne lagī
aur maiñ der tak bhīgtā rah gayā
chāñdnī meñ nahāyā badan thā vahī
chhan rahī thī vahī dūdhiyā raushnī
aa.ina aa.ina pairahan thā vahī
tere tevar tire naaz vaise hī the
ab kisī aur ke vāste hī sahī
muskurāne ke andāz vaise hī the
zindagī terī ḳhush-hāl pahle bhī thī
vaqt kī dhuul to sirf mujh par jamī
tū isī tarah kuchh saal pahle bhī thī
balki kuchh aur bhī dil-nashīñ ho ga.ī
rang khiltā gayā ruḳh nikhartā gayā
mere sheroñ se baḌh kar hasīñ ho ga.ī
dard-e-bechahragī jaan paa.ī na tū
merā ehsās ik zaḳhm se bach gayā
shukr hai mujh ko pahchān paa.ī na tū
aaj tu dafatan samne aa gai
teri raftar baad-e-saba ki tarah
pandrah sal ka dard mahka gai
main sar-e-rah hairan sa rah gaya
yaad-e-mazi ki shabnam barasne lagi
aur main der tak bhigta rah gaya
chandni mein nahaya badan tha wahi
chhan rahi thi wahi dudhiya raushni
aaina aaina pairahan tha wahi
tere tewar tere naz waise hi the
ab kisi aur ke waste hi sahi
muskurane ke andaz waise hi the
zindagi teri KHush-haal pahle bhi thi
waqt ki dhul to sirf mujh par jami
tu isi tarah kuchh sal pahle bhi thi
balki kuchh aur bhi dil-nashin ho gai
rang khilta gaya ruKH nikharta gaya
mere sheron se baDh kar hasin ho gai
dard-e-bechahragi jaan pai na tu
mera ehsas ek zaKHm se bach gaya
shukr hai mujh ko pahchan pai na tu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.