Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

waqt ki Dibiya

Hamidullah Afsar

waqt ki Dibiya

Hamidullah Afsar

MORE BYHamidullah Afsar

    achchhī ammāñ vaqt Dibiyā jo khul jaa.e kahīñ

    aur ye ghanTe aur minute saare nikal kar bhaag jaa.eñ

    tab mujhe maktab na jaane par burā kahnā na tum

    tab to maktab na hogā vaqt goyā kabhī

    jis qadar ghaḌiyāñ haiñ duniyā bhar meñ vo to sab sab

    dekh lenā das bajānā na jāneñgī kabhī

    dekho ammāñ ab jo sone ke liye leTūñ na maiñ

    tum na ab mujh par ḳhafā honā ḳhatā merī nahīñ

    kaise so.uuñ maiñ nishāñ tak bhī na ho jab raat

    merī ammāñ ab to rāteñ saarī ġhā.eb ho ga.iiñ

    achchhī ammāñ aaj to ik baat merī maan lo

    bas kahānī par kahānī mujh se tum kahtī raho

    tum kahogī ye kahānī ḳhatm hotī nahīñ

    ḳhatm ho jaa.e kahānī raat jab aage baḌhe

    dekh lenā aaj sone ko na hogī der kuchh

    vaqt Dibiyā ke khul jaane se rāteñ uḌ ga.iiñ

    achchhi amman waqt ki Dibiya jo khul jae kahin

    aur ye ghanTe aur minute sare nikal kar bhag jaen

    tab mujhe maktab na jaane par bura kahna na tum

    tab to maktab ka na hoga waqt hi goya kabhi

    jis qadar ghaDiyan hain duniya bhar mein wo to sab ki sab

    dekh lena das bajaana hi na jaanengi kabhi

    dekho amman ab jo sone ke liye leTun na main

    tum na ab mujh par KHafa hona KHata meri nahin

    kaise soun main nishan tak bhi na ho jab raat ka

    meri amman ab to raaten sari ghaeb ho gain

    achchhi amman aaj to ek baat meri man lo

    bas kahani par kahani mujh se tum kahti raho

    tum kahogi ye kahani KHatm hoti hi nahin

    KHatm ho jae kahani raat jab aage baDhe

    dekh lena aaj sone ko na hogi der kuchh

    waqt ki Dibiya ke khul jaane se raaten uD gain

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now