waqt ki giran-qadri
kitnī ab be-vaq.at hai
naam tak nayā ho jab
dekhne meñ ma.amūlī
hindsa badaltā hai
tab sabhī guzishta pal
pal meñ hoñ be-ma.anī se
saal ke badalne kī
ek ye alāmat hai
kyā koī alāmat se
dil ujaal saktā hai
koī naam nafrat kī
jaḌ nikāl saktā hai
jo agar ho aisā to
ye zamīñ hī jannat hai
dil pe haath rakh kar tum
pal-do-pal zarā socho
vaqt kā taqāzā hai
ziist kī zarūrat hai
kitni ab be-waqat hai
nam tak naya ho jab
dekhne mein mamuli
hindsa badalta hai
tab sabhi guzishta pal
pal mein hon be-mani se
sal ke badalne ki
ek ye alamat hai
kya koi alamat se
dil ujal sakta hai
koi nam nafrat ki
jaD nikal sakta hai
jo agar ho aisa to
ye zamin hi jannat hai
dil pe hath rakh kar tum
pal-do-pal zara socho
waqt ka taqaza hai
zist ki zarurat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.