waqt ki mar
zindagī kā bahut vaqt zaa.e.a huā
zindagī ko samajhte hue
ek raste pe girte sañbhalte hue
vaqt ko qaid karne kī koshish rahī
koī lamha magar haath aayā nahīñ
kitne lamhe kisī ajnabī pal ko banñe meñ zaa.e.a hue
ye jo lamhe ga.e in kī buniyād par
jaisī sochī thī vaisī yā nazdīk-tar
ik imārat khaḌī ho ga.ī
ḳhair jab tak nazar bhar ke meñ dekhtā
chand lamhe jo guzre to Dhah bhī ga.ī
jaise miTTī meñ miTTī kā milnā huā
jaise lohe se lohe kā kaTnā huā
jaise paanī ko paanī nigal jaatā hai
vaise lamhoñ ne lamhoñ ko chhū kar diyā
vaqt ko vaqt kī aisī choTeñ lagīñ
koī maazī na maujūd kuchh bhī nahīñ sirf maiñ rah gayā
vo hī raste pe girte sañbhalte hue
zindagī ko samajhte hue
aane vaale paloñ se kahīñ be-ḳhabar
zindagī kā bachā vaqt bhī zaa.e.a karte hue
zindagi ka bahut waqt zaea hua
zindagi ko samajhte hue
ek raste pe girte sanbhalte hue
waqt ko qaid karne ki koshish rahi
koi lamha magar hath aaya nahin
kitne lamhe kisi ajnabi pal ko banne mein zaea hue
ye jo lamhe gae in ki buniyaad par
jaisi sochi thi waisi ya nazdik-tar
ek imarat khaDi ho gai
KHair jab tak nazar bhar ke mein dekhta
chand lamhe jo guzre to Dhah bhi gai
jaise miTTi mein miTTi ka milna hua
jaise lohe se lohe ka kaTna hua
jaise pani ko pani nigal jata hai
waise lamhon ne lamhon ko chhu kar diya
waqt ko waqt ki aisi choTen lagin
koi mazi na maujud kuchh bhi nahin sirf main rah gaya
wo hi raste pe girte sanbhalte hue
zindagi ko samajhte hue
aane wale palon se kahin be-KHabar
zindagi ka bacha waqt bhi zaea karte hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.