waqt
tumhāre aur mere faisloñ ke darmiyāñ
ye vaqt hai jis ne
tanābeñ khīñch kar apnī
hamārī bebasī do chand kar dī hai
tumhāre paas kam hai
aur mere paas bhī utnā nahīñ
phir us pe itnī uljhaneñ tohfe meñ dī haiñ
zindagī ne
jinheñ suljhāte suljhāte
tumhāre paas aate rāste dhuñdlāne lag jaa.eñ
tumhaare aur mere faislon ke darmiyan
ye waqt hai jis ne
tanaben khinch kar apni
hamari bebasi do chand kar di hai
tumhaare pas kam hai
aur mere pas bhi utna nahin
phir us pe itni uljhanen tohfe mein di hain
zindagi ne
jinhen suljhate suljhate
tumhaare pas aate raste dhundlane lag jaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.