waqt
vaqt baḌā zālim hai mohsin
umr ko merī noch noch ke khā jaatā hai
pī jaatā hai roz tavānā.ī merī
raakh mire maazī kī har din
mere hī bāloñ par līptā rahtā
āñkhoñ meñ tārīkī jhoñktā rahtā hai
mere badan pe jhurriyāñ maltā rahtā hai
sāñsoñ ko dāñtoñ se kāTtā rahtā hai
til til kar ke mujh ko mārtā rahtā hai
vaqt baḌā chālāk bhī hai
aatā hai kab haath kisī ke
lekin mere haath lagā to
is se ik ik zulm kā badla le lūñgā
aur ḳhudā ke paas use pahuñchā dūñgā
waqt baDa zalim hai mohsin
umr ko meri noch noch ke kha jata hai
pi jata hai roz tawanai meri
rakh mere mazi ki har din
mere hi baalon par lipta rahta
aankhon mein tariki jhonkta rahta hai
mere badan pe jhurriyan malta rahta hai
sanson ko danton se kaTta rahta hai
til til kar ke mujh ko marta rahta hai
waqt baDa chaalak bhi hai
aata hai kab hath kisi ke
lekin mere hath laga to
is se ek ek zulm ka badla le lunga
aur KHuda ke pas use pahuncha dunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.