waqt munsif hai
Interesting Fact
(October, 1976)
tumheñ ḳhabar hai kahā thā tum ne
maiñ lafz sochūñ maiñ lafz bolūñ maiñ lafz likkhūñ
maiñ lafz likhne pe zindagī ke aziiz lamhoñ ko nazr kar duuñ
maiñ lafz likkhūñ
aur un kī āñkhoñ meñ munjamid ratjagoñ ko apne lahū kī taaza harārateñ de ke
jagmagā duuñ
to maiñ baḌā huuñ
tumheñ ḳhabar hai
mirī ragoñ meñ baḌe qabīle ke shāhzāde kā ḳhuun zinda ravāñ-davāñ hai
jise mohabbat ke dushmanoñ be-zamīr logoñ ne
pyaar karne ke jurm meñ qatl kar diyā thā
yahī nahīñ balki ḳhud ko munsif banā liyā thā
kisī ne bhī ḳhūñ-bahā na māñgā
ki shahr-e-mehnat ke sab buzurgoñ ne darguzar kā sabaq diyā thā
magar vo maiñ thā ki lafz likkhe
tumheñ ḳhabar hai
ki merī būḌhī aziim maañ ne javān beToñ ko hādsoñ ke
supurd kar ke duā.eñ māñgīñ
ḳhudā-e-bartar mire lahū ko amar banā de
duā.eñ māñgeñ to un ke chehre pe guzre mausam ke saare dukh
silvaToñ kī sūrat ubhar ga.e haiñ
magar vo maflūj ho ga.ī hai
yaqīn jaano ki maiñ ne aise azaab lamhoñ meñ lafz likkhe
tumheñ ḳhabar hai
baḌī havelī ke rahne vaale tamām logoñ ko chhoḌ kar maiñ ne lafz likkhe
tumheñ ḳhabar hai
maiñ lahlahāte hasīn khetoñ ko chhoḌ shahr kī be-amāñ
fasīloñ meñ aagyā huuñ
aur apne saa.e kī khoj meñ huuñ
kahīñ mile to maiñ lafz likkhūñ
nahīñ mile to maiñ lafz likkhūñ
tumheñ ḳhabar hai kahā thā tum ne
ki vaqt munsif hai
aur vo faisla karegā
tumhein KHabar hai kaha tha tum ne
main lafz sochun main lafz bolun main lafz likkhun
main lafz likhne pe zindagi ke aziz lamhon ko nazr kar dun
main lafz likkhun
aur un ki aankhon mein munjamid ratjagon ko apne lahu ki taza hararaten de ke
jagmaga dun
to main baDa hun
tumhein KHabar hai
meri ragon mein baDe qabile ke shahzade ka KHun zinda rawan-dawan hai
jise mohabbat ke dushmanon be-zamir logon ne
pyar karne ke jurm mein qatl kar diya tha
yahi nahin balki KHud ko munsif bana liya tha
kisi ne bhi KHun-baha na manga
ki shahr-e-mehnat ke sab buzurgon ne darguzar ka sabaq diya tha
magar wo main tha ki lafz likkhe
tumhein KHabar hai
ki meri buDhi azim man ne jawan beTon ko hadson ke
supurd kar ke duaen mangin
KHuda-e-bartar mere lahu ko amar bana de
duaen mangen to un ke chehre pe guzre mausam ke sare dukh
silwaTon ki surat ubhar gae hain
magar wo mafluj ho gai hai
yaqin jaano ki main ne aise azab lamhon mein lafz likkhe
tumhein KHabar hai
baDi haweli ke rahne wale tamam logon ko chhoD kar main ne lafz likkhe
tumhein KHabar hai
main lahlahate hasin kheton ko chhoD shahr ki be-aman
fasilon mein aagya hun
aur apne sae ki khoj mein hun
kahin mile to main lafz likkhun
nahin mile to main lafz likkhun
tumhein KHabar hai kaha tha tum ne
ki waqt munsif hai
aur wo faisla karega
- Book : جنہیں راستے میں خبر ہوئی (Pg. 39)
- Author : سلیم کوثر
- Publication : فضلی بکس ٹیمپل روڈ،اردو بازار، کراچی
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.