waqt
andhe vaqt ke
gahre kueñ meñ
maazī kī har yaad chhupī hai
kuchh lamhoñ kī kirneñ
zard sunahrī-āñchal meñ lipTī haiñ
kuchh pal aise bhī haiñ
jin ke ā.īne meñ
dukh ke anmiT-aks
ubhar kar
āñkhoñ ke girdāb meñ raqsāñ
lauh-e-dil par
naqsh hue haiñ
dhuup aur chhāñv ke is khel ko
haal kā har pal dekh rahā hai
dukh ke bhārī bojhal patthar
sukh kī narm sunahrī kirnoñ ko
mīzān meñ rakh kar
taul rahā hai
mustaqbil
ik dhund kī chādar meñ lipTe
durvesh kī sūrat
vaqt ke is tārīk kueñ se
jhāñkte maazī
haal ke ik ik naqsh kā partav
dekh rahā hai
soch rahā hai
andhe waqt ke
gahre kuen mein
mazi ki har yaad chhupi hai
kuchh lamhon ki kirnen
zard sunahri-anchal mein lipTi hain
kuchh pal aise bhi hain
jin ke aaine mein
dukh ke anmiT-aks
ubhar kar
aankhon ke girdab mein raqsan
lauh-e-dil par
naqsh hue hain
dhup aur chhanw ke is khel ko
haal ka har pal dekh raha hai
dukh ke bhaari bojhal patthar
sukh ki narm sunahri kirnon ko
mizan mein rakh kar
taul raha hai
mustaqbil
ek dhund ki chadar mein lipTe
durwesh ki surat
waqt ke is tarik kuen se
jhankte mazi
haal ke ek ek naqsh ka partaw
dekh raha hai
soch raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.