waqt
vo dīroz kī shaam
kab lauT kar aa sakī hai
nazar jis kī imroz-o-fardā ke chehroñ pe markūz hai
vahī is safar meñ
ufuq-zād hai
parinde bhī mehmān haiñ mausamoñ ke
jahāñ un ko paanī mile
uḌ ke us samt jaate haiñ
pīchhe palaT kar kabhī dekhte hī nahīñ
ajab ye tumhārā safar hai
ajab ye tumhārī nazar hai
ki sadiyoñ se dīroz ke is khañDar par lagī hai
jahāñ tum ko milte haiñ tārīḳh ke
pāra-pāra se bosīda aurāq
jin kī nishānī faqat
vaqt ke paas hai
suno
vaqt kī aañkh hai
vo sab dekhtā hai
nazar meñ us kī
zamān-o-makāñ
māvarā-e-zamān-o-makāñ
vaqt ke haath haiñ
vo apne hī hāthoñ se
shakleñ banātā bhī hai
aur shakloñ ko lamhoñ meñ taqsīm kar ke
pheñk detā hai in ko
abad ke kināre pe TuuTī huī
kashtiyoñ kī tarah
vaqt ke paañv haiñ
vo chaltā hai
gardish lagātā hai
bas ek hī samt meñ
us kī raftār aisī hai jaise koī
ḳhvāb meñ
din samajh le
vaqt āvāz hai
vaqt ehsās hai
vaqt patthar nahīñ
vaqt sail-e-ravāñ
vaqt mehvar hai
jis par zamīñ chal rahī hai
vaqt sūraj hai
kirnoñ se apnī
zamīñ ko rulātā bhī hai aur hañsātā bhī hai
vaqt bārish hai
tūfāñ uThātā hai
bījoñ ko phūloñ phaloñ tak kā sab fāsla
tai karātā hai
vaqt sailāb ban kar pahāḌoñ kī choTī pe chaḌhtā hai
paanī meñ rasta banātā hai
ātish ko gulzār kartā hai
aur raat kī raat soī huī bastiyoñ ko ulaTtā hai
vaqt mausam hai
patjhaḌ kī sūrat meñ saare daraḳhtoñ ke patte
girātā bhī hai
phir unheñ
ik nayā pairahan baḳhsh detā hai
vaqt aadil hai
insāf kartā hai
rātoñ meñ vo bhes apnā badal kar nikaltā hai
hātim hai
bin māñge ḳhairāt kartā hai
vaqt qātil bhī hai
aur masīhā bhī hai
zaḳhm detā bhī hai
zaḳhm bhartā bhī hai
vaqt ko tum agar jaan lete
to yuuñ ret meñ muñh chhupā kar na rote
zamīñ kī karāheñ na sunte
abhī vaqt hai
us kī āñkhoñ meñ jhāñko
na tum vaqt ko qaid hī kar sakoge
na tum vaqt ke dā.ere se nikal kar
kahīñ jā sakoge
azal aur abad ke kināre bhī
ik vāhima haiñ
haqīqat to ye hai
azal aur abad se pare
vaqt kā dā.era hai
vo dīroz kī shaam
kab lauT kar aa sakī hai
nazar jis kī imroz-o-fardā ke chehroñ pe markūz hai
vahī is safar meñ
ufuq-zād hai
wo diroz ki sham
kab lauT kar aa saki hai
nazar jis ki imroz-o-farda ke chehron pe markuz hai
wahi is safar mein
ufuq-zad hai
parinde bhi mehman hain mausamon ke
jahan un ko pani mile
uD ke us samt jate hain
pichhe palaT kar kabhi dekhte hi nahin
ajab ye tumhaara safar hai
ajab ye tumhaari nazar hai
ki sadiyon se diroz ke is khanDar par lagi hai
jahan tum ko milte hain tariKH ke
para-para se bosida auraq
jin ki nishani faqat
waqt ke pas hai
suno
waqt ki aankh hai
wo sab dekhta hai
nazar mein us ki
zaman-o-makan
mawara-e-zaman-o-makan
waqt ke hath hain
wo apne hi hathon se
shaklen banata bhi hai
aur shaklon ko lamhon mein taqsim kar ke
phenk deta hai in ko
abad ke kinare pe TuTi hui
kashtiyon ki tarah
waqt ke panw hain
wo chalta hai
gardish lagata hai
bas ek hi samt mein
us ki raftar aisi hai jaise koi
KHwab mein
din samajh le
waqt aawaz hai
waqt ehsas hai
waqt patthar nahin
waqt sail-e-rawan
waqt mehwar hai
jis par zamin chal rahi hai
waqt suraj hai
kirnon se apni
zamin ko rulata bhi hai aur hansata bhi hai
waqt barish hai
tufan uThata hai
bijon ko phulon phalon tak ka sab fasla
tai karaata hai
waqt sailab ban kar pahaDon ki choTi pe chaDhta hai
pani mein rasta banata hai
aatish ko gulzar karta hai
aur raat ki raat soi hui bastiyon ko ulaTta hai
waqt mausam hai
patjhaD ki surat mein sare daraKHton ke patte
giraata bhi hai
phir unhen
ek naya pairahan baKHsh deta hai
waqt aadil hai
insaf karta hai
raaton mein wo bhes apna badal kar nikalta hai
hatim hai
bin mange KHairaat karta hai
waqt qatil bhi hai
aur masiha bhi hai
zaKHm deta bhi hai
zaKHm bharta bhi hai
waqt ko tum agar jaan lete
to yun ret mein munh chhupa kar na rote
zamin ki karahen na sunte
abhi waqt hai
us ki aankhon mein jhanko
na tum waqt ko qaid hi kar sakoge
na tum waqt ke daere se nikal kar
kahin ja sakoge
azal aur abad ke kinare bhi
ek wahima hain
haqiqat to ye hai
azal aur abad se pare
waqt ka daera hai
wo diroz ki sham
kab lauT kar aa saki hai
nazar jis ki imroz-o-farda ke chehron pe markuz hai
wahi is safar mein
ufuq-zad hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.