waqt
ye vaqt kyā hai
kidhar se aatā hai kidhar ko jaatā hai
aur is vaqt ke shikam se nikalte
din aur raat
aur in se phūTte
ghanTe minute aur second
phir in se bante
hafte mahīne saal aur sadiyāñ
ye banñe TūTne juḌne kā amal
kab se shurūa huā hai
kab talak chalegā
kaun hai jis ne inheñ
is ḳhidmat par māmūr kar rakhā hai
apnī zabān se kuchh kahtā na suntā hai
bas har-dam masrūf-e-amal hai
us ne duniyā kī taḳhlīq ko dekhā hai
phir is ke baad is ke ujaḌne kā tamāshā.ī hai
is ke dāman meñ hazāroñ rāteñ hazāroñ kahāniyāñ haiñ
husn-o-ishq kī
tahzīboñ ke banñe bigaḌne kī
zamīñ ke TukḌoñ ke sajne sañvarne kī
suno to sunte raho
urūj-o-zavāl kī nasheb-o-farāz kī
magar kyā daur-e-jadīd ke
chāñd aur sitāroñ par kamand Dālne vāloñ ne
apne kaan band rakhe haiñ
yā itne masrūf haiñ ki unheñ sunñe kī fursat bhī nahīñ hai
maanā ki ham bhī kahānī likh rahe haiñ
auroñ ke liye
magar vo kahānī aisī ho
jise sunāte hue
vaqt ko koī sharmindagī na ho
ye waqt kya hai
kidhar se aata hai kidhar ko jata hai
aur is waqt ke shikam se nikalte
din aur raat
aur in se phuTte
ghanTe minute aur second
phir in se bante
hafte mahine sal aur sadiyan
ye banne TuTne juDne ka amal
kab se shurua hua hai
kab talak chalega
kaun hai jis ne inhen
is KHidmat par mamur kar rakha hai
apni zaban se kuchh kahta na sunta hai
bas har-dam masruf-e-amal hai
us ne duniya ki taKHliq ko dekha hai
phir is ke baad is ke ujaDne ka tamashai hai
is ke daman mein hazaron raaten hazaron kahaniyan hain
husn-o-ishq ki
tahzibon ke banne bigaDne ki
zamin ke TukDon ke sajne sanwarne ki
suno to sunte raho
uruj-o-zawal ki nasheb-o-faraaz ki
magar kya daur-e-jadid ke
chand aur sitaron par kamand Dalne walon ne
apne kan band rakhe hain
ya itne masruf hain ki unhen sunne ki fursat bhi nahin hai
mana ki hum bhi kahani likh rahe hain
auron ke liye
magar wo kahani aisi ho
jise sunate hue
waqt ko koi sharmindagi na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.