warud
javāñ rātoñ meñ kaalā dasht
qālib meñ utartā hai
ki mere jism o jaañ ke marġh-zāroñ kī mahak
havā ke dosh par raqs kartī hai
pyāsī ret sahrāoñ kī dhañstī hai
rag o pai meñ
udhaḌte haiñ masāmoñ se
lahū-zāroñ ke chashme
barf kohsār ke saare parinde
giit gaate haiñ
habāb uThtā hai
gahre nīl-gūñ zinda samundar kā
himāla saañs meñ Dhal kar
glacier sā pighaltā hai
javāñ rāteñ
regzāroñ kī pyāsī ret
samundar kā habāb
barf kohsār ke saare parinde
himāla aur glacier
javāñ rātoñ meñ
merī kā.enātoñ meñ
na.e sayyāre aur taaza jahāñ daryāft karte haiñ
ki mujh par lafz bārish se utarte haiñ
jawan raaton mein kala dasht
qalib mein utarta hai
ki mere jism o jaan ke margh-zaron ki mahak
hawa ke dosh par raqs karti hai
pyasi ret sahraon ki dhansti hai
rag o pai mein
udhaDte hain masamon se
lahu-zaron ke chashme
barf kohsar ke sare parinde
git gate hain
habab uThta hai
gahre nil-gun zinda samundar ka
himala sans mein Dhal kar
glacier sa pighalta hai
jawan raaten
regzaron ki pyasi ret
samundar ka habab
barf kohsar ke sare parinde
himala aur glacier
jawan raaton mein
meri kaenaton mein
nae sayyare aur taza jahan daryaft karte hain
ki mujh par lafz barish se utarte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.