wasf-e-zaban
ai zabāñ tū nutq meñ aa kar banī jādū-bayāñ
tū ne khole raaz vo ab tak jo the dil meñ nihāñ
kis qadar shīrīñ haiñ naġhme tere sāz-e-nutq meñ
ban ga.ī tū ik tilism-e-turfa rāz-e-nutq meñ
sho.ala-e-javvāla hai tū bazm-gāh-e-razm meñ
sulh-e-ma.anī-ḳhez hai tū razm-gāh-e-bazm meñ
tū hī jā kar ban ga.ī lab par papīhe ke fuġhāñ
tū hī koyal kī banī bāġhoñ meñ jā kar rāz-dāñ
tū ne hī taqrīr meñ rūh-e-talāqat phūñk dī
paa.ī hai shīrāza-e-dil ne tujhī se zindagī
aap hī naġhmoñ meñ apne mast hai sarshār hai
aap hī tū chārāgar hai aap hī bīmār hai
laḌne vāloñ ke diloñ meñ tū baḌhā detī hai josh
sulh-mañdoñ ke dimāġhoñ ko dilā detī hai hosh
hai marīzoñ ke liye sarmāya-e-taskīñ tū hī
ġham-zada rāñDoñ kī ban jaatī hai tū hī zindagī
qabza-e-qudrat meñ tere zaḳhm bhī marham bhī hai
tere chehre se ḳhushī bhī hai numāyāñ ġham bhī hai
tū sulā detī hai afsāne sunā kar aish ke
niiñd uḌā detī hai tū jalve dikhā kar aish ke
ai zaban tu nutq mein aa kar bani jadu-bayan
tu ne khole raaz wo ab tak jo the dil mein nihan
kis qadar shirin hain naghme tere saz-e-nutq mein
ban gai tu ek tilism-e-turfa raaz-e-nutq mein
shoala-e-jawwala hai tu bazm-gah-e-razm mein
sulh-e-mani-KHez hai tu razm-gah-e-bazm mein
tu hi ja kar ban gai lab par papihe ke fughan
tu hi koyal ki bani baghon mein ja kar raaz-dan
tu ne hi taqrir mein ruh-e-talaqat phunk di
pai hai shiraaza-e-dil ne tujhi se zindagi
aap hi naghmon mein apne mast hai sarshaar hai
aap hi tu chaaragar hai aap hi bimar hai
laDne walon ke dilon mein tu baDha deti hai josh
sulh-mandon ke dimaghon ko dila deti hai hosh
hai marizon ke liye sarmaya-e-taskin tu hi
gham-zada ranDon ki ban jati hai tu hi zindagi
qabza-e-qudrat mein tere zaKHm bhi marham bhi hai
tere chehre se KHushi bhi hai numayan gham bhi hai
tu sula deti hai afsane suna kar aish ke
nind uDa deti hai tu jalwe dikha kar aish ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.