wasl-e-shirin ke liye
duur takzīb kā farhād huuñ merī ḳhātir
haq kī āvāz sadāqat kī aur shīrīñ hai
merā mansab hai husūl-e-shīrīñ
vasl-e-shīrīñ ke liye tesha uThātā huuñ maiñ
tesha-e-azm-o-yaqīñ jo abhī kund nahīñ
sīna-e-sañg abhī ḳhushk nahīñ
har rag sañg meñ ik juue ravāñ pinhāñ hai
maiñ ki farhād huuñ rag rag meñ mirī
sho.ala-e-qatra-e-ḳhūñ jaulāñ hai
merī gardan pe hai sarbār amānat kī tarah
mere hī teshe se kaT saktā hai lekin ye kabhī
jhuk to saktā hī nahīñ
juT ga.e haath uThe aur bane ek kamāñ
TuuT saktī nahīñ hāthoñ kī kamāñ
chhūT saktā nahīñ tesha merā
is kī har zarb-e-javāñ se jab tak
reza reza nahīñ ho
zulm-o-takzīb kā ye koh-e-girāñ
dur takzib ka farhad hun meri KHatir
haq ki aawaz sadaqat ki aur shirin hai
mera mansab hai husul-e-shirin
wasl-e-shirin ke liye tesha uThata hun main
tesha-e-azm-o-yaqin jo abhi kund nahin
sina-e-sang abhi KHushk nahin
har rag sang mein ek jue rawan pinhan hai
main ki farhad hun rag rag mein meri
shoala-e-qatra-e-KHun jaulan hai
meri gardan pe hai sarbar amanat ki tarah
mere hi teshe se kaT sakta hai lekin ye kabhi
jhuk to sakta hi nahin
juT gae hath uThe aur bane ek kaman
TuT sakti nahin hathon ki kaman
chhuT sakta nahin tesha mera
is ki har zarb-e-jawan se jab tak
reza reza nahin ho
zulm-o-takzib ka ye koh-e-giran
- Book : Roshan waraq waraq (Pg. 102)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.