wasl ke baad
dard-e-dil so bhī chukā Dhal bhī chukā vasl kā chāñd
anjum-e-sub.h khilā ḳhatm huā shab kā safar
tiir kirnoñ ke chale zaḳhm hue phir gahre
lag ga.ī laila-e-shab ko bhī sitāroñ kī nazar
jal bujhe pyaar kī ḳhush-rang tamannā ke charāġh
phir sulagne lagā har saañs meñ aahoñ kā dhuāñ
phir tasavvur ke jazīre kī fazā hai maġhmūm
phir dar-o-bām pe chhāyā hai udāsī kā samāñ
dhul ga.ī raat ke māthe kī damaktī bindiyā
tīliyāñ nuur kī ḳhvābīda nigāhoñ meñ chubhīñ
phir rule ḳhaak meñ shabnam ke larazte motī
yuuñ bujhī sham.eñ bahāroñ kī ki dekhī na ga.iiñ
fasl-e-gul haar ga.ī daur-e-ḳhizāñ jiit gayā
aa gayā ahd-e-sitam ahd-e-vafā biit gayā
dil gayā dil se bujhī husn-e-shagufta kī nazar
ḳhūn-e-zulmāt se labrez huā jām-e-sahar
dard-e-dil so bhi chuka Dhal bhi chuka wasl ka chand
anjum-e-subh khila KHatm hua shab ka safar
tir kirnon ke chale zaKHm hue phir gahre
lag gai laila-e-shab ko bhi sitaron ki nazar
jal bujhe pyar ki KHush-rang tamanna ke charagh
phir sulagne laga har sans mein aahon ka dhuan
phir tasawwur ke jazire ki faza hai maghmum
phir dar-o-baam pe chhaya hai udasi ka saman
dhul gai raat ke mathe ki damakti bindiya
tiliyan nur ki KHwabida nigahon mein chubhin
phir rule KHak mein shabnam ke larazte moti
yun bujhi shamen bahaaron ki ki dekhi na gain
fasl-e-gul haar gai daur-e-KHizan jit gaya
aa gaya ahd-e-sitam ahd-e-wafa bit gaya
dil gaya dil se bujhi husn-e-shagufta ki nazar
KHun-e-zulmat se labrez hua jam-e-sahar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.