wassalam
pyāre beTe ibrāhīm
tumheñ shikāyat hai ki ek arse se maiñ ne kuchh likhā likhā yā nahīñ
'iqbāl' ne kahā thā
naale bulbul ke sunūñ aur hama-tan gosh rahūñ
ham-navā maiñ bhī koī gul huuñ ki ḳhāmosh rahūñ
phir 'faiz' ne kahā thā
bol ki lab āzād haiñ tere
bahut uksātā huuñ apne-āp ko
lekin zabān kī girah khultī hī nahīñ
aur dil kā sho.ala-lab mojiz-bayāñ par aatā hī nahīñ
haa.e 'nāsir'-kāzmī'
bas 'ġhālib' kī tarah kaan lapeT kar baiTh jaatā huuñ
khulā kar fā.eda arz-e-hunar meñ ḳhaak nahīñ
bolūñgā to sunegā kaun
kisī ke kaan meñ paḌ bhī ga.ī to samjhegā kaun
āj-kal to baḌe baḌe khaḌ-peñchoñ kī hālat ye hai
ki koī suntā hai to samajhtā nahīñ
koī samajhtā hai to suntā nahīñ
aur bahut haiñ jo sunte bhī nahīñ samajhte bhī nahīñ
phir mere paas naale ko hai kiyā
kaun sī zarūrī baat hai jo an-kahī rah ga.ī hai
saare falsafe saare nazariye saare masā.il to bayān ho chuke
shā.iroñ ne latīf se latīf jazbe ko sau sau tarah se bāñdh Daalā
mausīqāroñ ne nāzuk se nāzuk ehsās ko pāband le kar diyā
na kisī ke liye kuchh kahne ko baaqī hai
na kisī meñ sunñe kā yaarā hai
yahī ġhanīmat hai ki dil bhar aa.e to muñh hī muñh meñ kuchh baḌbaḌā leñ
āḳhir jab ḳhudā ne abhī ḳhudā.ī na banā.ī thī
to akele meñ kyā kartā ho vo
ḳhud hī boltā hogā ḳhud hī suntā hogā vo
merā ye maqām to nahīñ lekin hālat yahī hai
ḳhud hī boltā huuñ ḳhud hī suntā huuñ
bas ye samajh meñ nahīñ aatā ki kahā kyā hai aur sunā kyā hai
vaise ye samjhe samjhāne vaalī baat bhī TeḌhī ḳhair hai
'ġhālib' ne kahā thā
bak rahā huuñ junūñ meñ kyā kyā kuchh kuchh na samjhe ḳhudā kariye koī
aur is se pahle 'mīr-dard' ne bahut dard se batāyā thā
samajhte the na magar sunte the tarāna-e-dard samajh meñ aane lagā jab to phir sunā na gayā
vassalām
pyare beTe ibrahim
tumhein shikayat hai ki ek arse se main ne kuchh likha likha ya nahin
'iqbaal' ne kaha tha
nale bulbul ke sunun aur hama-tan gosh rahun
ham-nawa main bhi koi gul hun ki KHamosh rahun
phir 'faiz' ne kaha tha
bol ki lab aazad hain tere
bahut uksata hun apne-ap ko
lekin zaban ki girah khulti hi nahin
aur dil ka shoala-lab mojiz-bayan par aata hi nahin
hae 'nasir'-kazmi'
bas 'ghaalib' ki tarah kan lapeT kar baiTh jata hun
khula kar faeda arz-e-hunar mein KHak nahin
bolunga to sunega kaun
kisi ke kan mein paD bhi gai to samjhega kaun
aaj-kal to baDe baDe khaD-penchon ki haalat ye hai
ki koi sunta hai to samajhta nahin
koi samajhta hai to sunta nahin
aur bahut hain jo sunte bhi nahin samajhte bhi nahin
phir mere pas nale ko hai kiya
kaun si zaruri baat hai jo an-kahi rah gai hai
sare falsafe sare nazariye sare masail to bayan ho chuke
shairon ne latif se latif jazbe ko sau sau tarah se bandh Dala
mausiqaron ne nazuk se nazuk ehsas ko paband le kar diya
na kisi ke liye kuchh kahne ko baqi hai
na kisi mein sunne ka yara hai
yahi ghanimat hai ki dil bhar aae to munh hi munh mein kuchh baDbaDa len
aaKHir jab KHuda ne abhi KHudai na banai thi
to akele mein kya karta ho wo
KHud hi bolta hoga KHud hi sunta hoga wo
mera ye maqam to nahin lekin haalat yahi hai
KHud hi bolta hun KHud hi sunta hun
bas ye samajh mein nahin aata ki kaha kya hai aur suna kya hai
waise ye samjhe samjhane wali baat bhi TeDhi KHair hai
'ghaalib' ne kaha tha
bak raha hun junun mein kya kya kuchh kuchh na samjhe KHuda kariye koi
aur is se pahle 'mir-dard' ne bahut dard se bataya tha
samajhte the na magar sunte the tarana-e-dard samajh mein aane laga jab to phir suna na gaya
wassalam
- Book : din kaa phool (Pg. 63)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.