watan aazad karne ke liye
hind kā ujḌā chaman ābād karne ke liye
dard ke maare huoñ ko shaad karne ke liye
ik nayā ahd-e-jahāñ ābād karne ke liye
qasr-e-istibdād ko barbād karne ke liye
jhuum kar uTTho vatan āzād karne ke liye
safha-e-hastī se bātil ko miTāne ke liye
ḳhirman-e-ādā pe ab bijlī girāne ke liye
ahl-e-zar kī be-kasī par muskurāne ke liye
ya.anī arvāh-e-salaf ko shaad karne ke liye
jhuum kar uTTho vatan āzād karne ke liye
phir se bhaḌkāo diloñ meñ ġhairatoñ kī aag ko
razm kī jānib baḌhāo jur.atoñ kī baag ko
paañv ke nīche kuchal do sīm-o-zar ke naag ko
zindagānī ko sarāpā shaad karne ke liye
jhuum kar uTTho vatan āzād karne ke liye
mastī-e-sahbā-e-āzādī se lahrāte chalo
abr kī sūrat buland-o-past par chhāte chalo
qahqahoñ se lailī-e-maġhrib ko sharmāte chalo
phir dayār-e-hind ko ābād karne ke liye
jhuum kar uTTho vatan āzād karne ke liye
hind ka ujDa chaman aabaad karne ke liye
dard ke mare huon ko shad karne ke liye
ek naya ahd-e-jahan aabaad karne ke liye
qasr-e-istibdad ko barbaad karne ke liye
jhum kar uTTho watan aazad karne ke liye
safha-e-hasti se baatil ko miTane ke liye
KHirman-e-ada pe ab bijli girane ke liye
ahl-e-zar ki be-kasi par muskurane ke liye
yani arwah-e-salaf ko shad karne ke liye
jhum kar uTTho watan aazad karne ke liye
phir se bhaDkao dilon mein ghairaton ki aag ko
razm ki jaanib baDhao juraton ki bag ko
panw ke niche kuchal do sim-o-zar ke nag ko
zindagani ko sarapa shad karne ke liye
jhum kar uTTho watan aazad karne ke liye
masti-e-sahba-e-azadi se lahraate chalo
abr ki surat buland-o-past par chhate chalo
qahqahon se laili-e-maghrib ko sharmate chalo
phir dayar-e-hind ko aabaad karne ke liye
jhum kar uTTho watan aazad karne ke liye
- Book : Urdu Mein Qaumi Shayari Ke Sau Saal (Pg. 294)
- Publication : Uttar Prdesh Urdu Academy,Lucknow (1982)
- Edition : 1982
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.