watan ke liye dua
yahāñ na koī daraḳht hogā
na phuul patte na ghaas shabnam
na chāñd rātoñ ko apnā chehra dikhā sakegā
na din ko sūraj
havā salāḳhoñ se sar paTaḳh kar
gale meñ phandā liye yūñhī dar-ba-dar phiregī
ye merī dhartī yūñhī rahegī
ḳhizāñ havāoñ ne us kī shādābiyoñ ke manzar ujāḌne ko
vo gul khilā.e
qazā bhī qistoñ meñ aa rahī hai
mirā vatan ek būḌhe bargad kī shāḳh-e-nāzuk banā huā hai
mirī duā hai
ki maiñ bhī karb-o-balā se guzrūñ
ki aise shādāb manzaroñ kā ujāḌ-pan
maiñ na dekh pā.ūñ
yahan na koi daraKHt hoga
na phul patte na ghas shabnam
na chand raaton ko apna chehra dikha sakega
na din ko suraj
hawa salaKHon se sar paTaKH kar
gale mein phanda liye yunhi dar-ba-dar phiregi
ye meri dharti yunhi rahegi
KHizan hawaon ne us ki shadabiyon ke manzar ujaDne ko
wo gul khilae
qaza bhi qiston mein aa rahi hai
mera watan ek buDhe bargad ki shaKH-e-nazuk bana hua hai
meri dua hai
ki main bhi karb-o-bala se guzrun
ki aise shadab manzaron ka ujaD-pan
main na dekh paun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.